Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Aa Maa Aa Tujhe Dil Ne Pukara (आ माँ आ तुझे दिल ने पुकारा - भजन)


Aa Maa Aa Tujhe Dil Ne Pukara
Aa Maa Aa Tujhe Dil Ne Pukara ।
Dil Ne Pukara Tu Hai Mera Sahara Maa ॥
Sheranwali, Jotanwali, Mehraanwali Maa ।
Aa Maa Aa Tujhe Dil Ne Pukara ॥
Prem Se Bolo, Jay Mata Di ।
Saare Bolo, Jay Mata Di ।
Mil Ke Bolo, Jay Mata Di ।
Phir Se Bolo, Jay Mata Di ।
Mainne Man Se Teri Pooja Ki Hai Saanjh Savere ।
Mujh Ko Darshan De Ke Maiya, Bhaag Jaga De Mere ।
Mainne Man Se Teri Pooja Ki Hai Saanjh Savere ।
Mujh Ko Darshan De Ke Maiya, Bhaag Jaga De Mere ।
Maiya Maiya Bole Mera, Man Ek Tara Maa ॥
॥ Aa Maa Aa Tujhe Dil Ne Pukara… ॥

Tune Hi Pala Hai Mujhko, Tu Hi Mujhe Sambhale ।
Tune Hi Mere Jeevan Me, Pal Pal Kiye Ujaale ।
Tune Hi Paala Hai Mujhako, Tu Hi Mujhe Sambhale ।
Tune Hi Mere Jeevan Me, Pal Pal Kiye Ujale ।
Charanon Me Tere Mainne, Tan Man Vara Maa ॥
॥ Aa Maa Aa Tujhe Dil Ne Pukara… ॥

Maa Le Meri Vinati Maiya, Ek Jhalak Dikhla De ।
Roop Ki Sheetal Kiranon Se Nayano Ke Dwar Saja De ।
Maa Le Meri Vinti Maiya, Ek Jhalak Dikhla De ।
Roop Ki Sheetal Kiranon Se Nayano Ke Dwar Saja De ।
No Ko Roop Tera Lagta Hai Pyara Maa ॥
॥ Aa Maa Aa Tujhe Dil Ne Pukara… ॥

Jay Mata Di, Jay Mata Di ।
Kasht Nivare, Sheron Wali ।
Paar Lagade, Sheron Wali ।
Hai Duhkh Harani, Sheron Wali ।
Bigadi Bana De, Sheron Wali ।

Prem Se Bolo, Jay Mata Di ।
Saare Bolo, Jay Mata Di ।
Jor Se Bolo, Jay Mata Di ।
Bhakti Bharat Lyrics

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन

आ माँ आ तुझे दिल ने पुकारा - भजन हिन्दी में पढ़ें

नवरात्रि भजन, आ माँ आ तुझे दिल ने पुकारा। दिल ने पुकारा तू है मेरा सहारा माँ।।
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanMaa Durga BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanGulsan Kumar BhajanOld Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tum Kalo Ke Kal Baba Mere Mahakal

Tum Kalo Ke Kal, Baba Mere Mahakal , Duniya Bhi Jane Tu Hai, Kalo Ka Kal, Kalo Ka Kal, Dare Tujhse Bhi Kal, O Mere Mahakal, Tum Kalo Ke Kal, Baba Mere Mahakal, Baba Mere Mahakal ॥

Damru Wajda Bhole Da

Saari Duniya, Sheeshe Navaave, Pi Ke, Bhang, Lor Mein Aave ll Pi Ke, Bhang, Lor Mein Aave, Naam Bhi, Goonjta, Bhole Ka, Aa Jao, Naach Lo, Jo Naachna, Ji, Damru Bajata Bhole Ka ll

Bhole Teri Leela Anokhi

Bhole Teri Leela Anokhi, Shankar Teri Leela Anokhi, Hai Gajab Ka Gola, Shiv Bum Bum Bum Bum Bhola,
Shiv Bam Bam Bam Bam Bhola ॥

Baba Mujhe Darshan De Mahakal

Baba Mujhe Darshan De Mahakal, Baba Mujhe Darshan De, Darshan De Mujhe Darshan De, Darshan De Mujhe Darshan De, Tera Pyara Hai Darwar, Aaja Mujhe Darshan De ॥

Jai Mahakal Jai Mahakal

Jai Mahakal Jai Mahakal, Jai Mahakal Jai Mahakal, Jo Paap Tap Ka Harta Hai, Jo Yug Paribartan Karta Hai, Maa Adishakti Ko Saath Liye, Jo Badal Raha Hai Srithi Chal, Jai Mahakal Jai Mahakal, Jai Mahakal Jai Mahakal ॥

Bam Bam Bhola Pahna Sanyasi Chola

Bam Bam Bam Bam Bam Bhola, Pahna Sanyasi Chola, Kandhe Jhola Anmola Daal Ke, Darshan Karne Chale Hain Nandlaal Ke ॥

Hum Hogaye Shankar Baba Ke

Hum Hath Utha Kar Kehte Hai, Hum Ho Gaye Shankar Baba Ke, Hum Sheesh Jhuka Kar Kahte Hai..

Sawan 2026 - Sawan 2026
Sawan 2026 - Sawan 2026
Bhakti Bharat APP