Holi 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Baith Nazdik Tu Meri Maa Ke Har Kadi Dil Ki Judne Lagegi (बैठ नजदीक तू मेरी माँ के, हर कड़ी दिल की जुड़ने लगेगी: भजन)


Baith Nazdik Tu Meri Maa Ke Har Kadi Dil Ki Judne Lagegi
Baith Nazdik Tu Meri Maa Ke,
Har Kadi Dil Ki Judne Lagegi,
Dekh Najro Se Najar Mila Ke,
Tumse Baat Wo Karne Lagegi ॥
Ye Hai Bhukhi Teri Bhawani Ki,
Ye Hai Pyasi Tere Prem Raas Ki,
Nange Pairo Hi Daudi Wo Aati,
Apne Bhakto Ko Dil Mein Maa Rakhti,
Utna Teri Tarapha Ye Badhegi,
Dekh Najro Se Najar Mila Ke,
Tumse Baat Wo Karne Lagegi,
Baith Nazdik Tu Meri Maa Ke,
Har Kadi Dil Ki Judne Lagegi ॥

Paas Mein Baith Kar Meri Maa Ke,
Apane Dil Ki Hakikat Sunao,
Ek Tak Tum Chhavi Ko Niharo,
Koi Pyara Bhajan Tum Sunao,
Bhav Jagenge Tere Hraday Mein,
Maan Ki Har Ek Kali Khil Uthegi,
Dekh Najro Se Najar Mila Ke,
Tumse Baat Wo Karne Lagegi,
Baith Nazdik Tu Meri Maa Ke,
Har Kadi Dil Ki Judne Lagegi ॥

Hogi Aankhon Hi Aankhon Mein Baaten,
Khub Samajhoge Maa Ke Ishare,
Degi Nirdesh Tujhako Ye Maiya,
Banate Jaoge Tum Isake Pyare,
Isake Kahane Pe Jab Tum Chaloge,
Sari Duniya Mein Ijjat Badhegi,
Dekh Najro Se Najar Mila Ke,
Tumse Baat Wo Karne Lagegi,
Baith Nazdik Tu Meri Maa Ke,
Har Kadi Dil Ki Judne Lagegi ॥

Maiya Se Pyar Jisne Kiya Hai,
Swad Jivan ka Usne Liya Hai,
Jisane Najadikiyan Hai Badhae,
Usne Masti Ka Pyala Piya Hai,
Inke Charnon Mein Aake Lipat ja,
Jindegi Mehkne Lagegi,
Dekh Najro Se Najar Mila Ke,
Tumse Baat Wo Karne Lagegi,
Baith Nazdik Tu Meri Maa Ke,
Har Kadi Dil Ki Judne Lagegi ॥

Baith Nazdik Tu Meri Maa Ke,
Har Kadi Dil Ki Judne Lagegi,
Dekh Najro Se Najar Mila Ke,
Tumse Baat Wo Karne Lagegi ॥

बैठ नजदीक तू मेरी माँ के, हर कड़ी दिल की जुड़ने लगेगी: भजन हिन्दी में पढ़ें

बैठ नजदीक तू मेरी माँ के, हर कड़ी दिल की जुड़ने लगेगी, देख नजरो से नजरे मिला के, तुझसे बाते वो करने लगेगी ॥
Read Also

Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Mujhe Radharani Mera Shyam Mila De

Aaj Biraj Mein Hori Re Rasiya. Hori Re Hori Re Barjori Re Rasiya॥

Aaj Biraj Mein Hori Re Rasiya

Aaj Biraj Mein Hori Re Rasiya, Hori Re Hori Re Barajori Re Rasiya...

Holi Holi Sanware Ki Aae Holi

Holi Holi Holi Holi Holi, Holi Holi Holi Sanware Ki Aae Holi, Gokul Bhiga Mathura Bhiga Bhagato Ki Bhigi Toli,
Holi Holi Holi Holi Holi ॥

Holi Re Holi Barsane Ki Holi

Radha Krishna Ne Mil kar Kheli Barsane Ki Holi, Sang Kishan Ke Gwal Sakha Hai Sakhiyan Radha Toli,
Holi Re Holi Barsane Ki Holi ॥

Aayo Gandgaon Se Holi Khelan Natwar Nand Kishor

Aayo Nandganv Se Holi Khelan Natwar Nand Kishor । Natwar Nand Kishor, Aayo Chhaliya Makhan Chor Sang Mein Gwal Baal Mastane, Rabdi Tikiya Ghote Chhane । Saje Swang Mein Dhap Manmaane ।

Khele Masane Mein Holi Digambar

Khele Masane Mein Hori, Digambar, Khele Masane Mein Hori, Bhoot Pisach Batori,
Digambar, Khele Masane Mein Hori ॥

Aditya Hridaya Stotra - Aditya Hridaya Stotra
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP