Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Buti La De Re Balaji Buti La De Re (बूटी ला दे रे बालाजी, बूटी ला दे रे: भजन)


Buti La De Re Balaji Buti La De Re
Buti La De Re Balaji,
Buti La De Re,
Kahe Ye Ram Pukar,
O Mere Pawankumar,
Lakhan Ke Pran Bacha Le Re,
Buti La De Re Balaji,
Buti La De Re ॥
Asuro Ne Asi Shakti Lagae,
Mere Lakhan Ne Sudha Bisharai,
Dekho Ye Kaise Soya Hai,
Mera Sab Kuchh Hi Khoya Hai,
Sanjivan Buti Jo Aae,
Mera Lakhan Jivit Ho Jaye,
Na Inaka Na Mere Bas Ka,
Kaam Hai Ye Bas Tere Bas Ka,
Ja Jaldi Ja Buti Tu Le Aa,
Der Kahin Na Ho Jae Jyada,
Buti La De Re,
Buti La De Re Balaji,
Buti La De Re ॥

Pahale Van Mein Khoi Nari,
Ab Mushkil Bhe Pe Bhari,
Avadhapuri Kaise Jaunga,
Maa Ko Kya Munh Dikhalaunga,
Lakshman Hai Ikalauta Beta,
Sudhabudh Khokar Ye Hai Leta,
O Balaji Sankat Taaro,
Sankat Mochan Naam Tihaaro,
Dronaagiri Parvat Par Jao,
Sanjivan Ko Dhundh Ke Lao,
Dekho Na Jyaada Der Lagaana,
Bhor Se Pahale Vapas Aana,
Buti La De Re,
Buti La De Re Balaji,
Buti La De Re ॥

Itna Sunkar Bajrang Bala,
Shis Nava Kar Ho Matwala,
Ud Gaya Unche Ambar Main Wo,
Ojhal Ho Gaya Najro Se Wo,
Dronagiri Par Ja Wo Pahuncha,
Maya Rach Di Asuro Ne Waha,
Jab BUti Na MIli Hanumat Ko,
Dundh Dunda Ke Jhujhla Gaya Woh,
Ab Pura Parwat Hi Uthaya,
Aor Ayodha Par Jab Aaya,
Tir Chalaya Veer Bharat Ne,
Ram Naam Bola Hanumat Ne,
Dharti Par Jab Gire Hanumanta,
Veer Bharat Ko Ho Gae Chinta,
Hanumat Ne Sab Haal Sunaya,
Sunke Bharat Ne Sigrah Pathaya,
Suryoday Se Pahale Bekhabar,
Jor Jor Se Bole Vanar,
Buti La De Re,
Buti La De Re Balaji,
Buti La De Re ॥

Buti La De Re Balaji,
Buti La De Re,
Kahe Ye Ram Pukar,
O Mere Pawankumar,
Lakhan Ke Pran Bacha Le Re,
Buti La De Re Balaji,
Buti La De Re ॥

बूटी ला दे रे बालाजी, बूटी ला दे रे: भजन हिन्दी में पढ़ें

बूटी ला दे रे बालाजी, बूटी ला दे रे, कहे ये राम पुकार, ओ मेरे पवनकुमार, लखन के प्राण बचा ले रे, बुटी ला दे रे बालाजी, बूटी ला दे रे ॥
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jhule Palna Mein Krishna Kanhaiya

Jhule Palana Mein Krushn Kanhaiya, Badhae Baje Gokul Mein, Badhae Baje Gokul Mein,
Badhae Baje Gokul Mein, Jhule Palana Mein Krushn Kanhaiya, Badhae Baje Gokul Mein ॥

Main To Banke Dulhan Aaj Saji

Shyam Aan Baso Brundaban Main, Meri Umar Bit Gae Gokul Main, Main To Ban Ke Dulhan Aaj Saji, Bas Tum Hi Ho Mere Tan Maan main, Shyam Aan Baso Brundaban Main, Meri Umar Bit Gae Gokul Main ॥

Ab Naa Banegi Too Phir Na Banegi

Ab Naa Bani Too Fir Naa Banegi, Nar Tan Baar Baar Nahi Milta, Heera Saa Janam Kyo Virtha Gavayo..

Hame Nij Dharm Par Chalna Sikhati Roj Ramayan

Hamen Nij Dharm Par Chalna, Sikhati Roj Ramayan, Sada Shubh Aachran Karna, Sikhati Roj Ramayan ॥

Narayan Jaap

Shriman Narayan Narayan Narayan, Lakh Chaurasi Ghum Ke Tune Ye Manav Tan Paya

Kardo Dur Prabhu Mere Mann Me Andhera Hai

Kar Do Dur Prabhu, Mere Mann Mein Andhera Hai, Jab Se Teri Lagan Lagi, Hua Mann Mein Savera Hai...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP