गणेशोत्सव - Ganeshotsav
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Chale Hai Bhola Saj Dhaj Ke (चले है भोला, सज धज के - भजन)


Chale Hai Bhola Saj Dhaj Ke
Bhola Tan Pe Bhasm Lagaye,
Man Mein Gaura Ko Basaye,
Chale Hai Bhola,
Saj Dhaj Ke,
Sankhiya Mangal Gaati Hain,
Bhoot Pret Baaraati Hain ॥
Bhoot Aur Pret Sab,
Jhoom Jhoom Jaate Hain,
Loole Aur Langde Bhi,
Disko Dikhate Hain,
Bhola Man Hi Man Muskaye,
Roop Ajab Gajab Hain Banaye,
Chale Hain Bhola,
Saj Dhaj Ke ॥

Pahunchi Baaraat,
Sab Mangal Gaate Hain,
Dekh Dekh Shiv Ko,
Sabhi Dar Jaate Hain,
Mata Maina Rahi Ghabraaye,
Shiv Aisa Roop Banaye,
Chale Hain Bhola,
Saj Dhaj Ke ॥

Man Mein Ye Sochen Shiv,
Sab Dar Jaate Hain,
Vivaah Kaise Hoga,
Koi Paas Na Aate Hain,
Tab Sundar Roop Banaye,
Chandrashekhar Naam Kahaye,
Chale Hain Bhola,
Saj Dhaj Ke ॥

Gaura Ke Sang Mein,
Byah Rachaate Hain,
Leke Bhawani Ko,
Kailash Jaate Hain,
‘Sooraj Soni’ Harsaaye,
Dhyan Shivji Ke Charanon Me Lagaye,
Chale Hain Bhola,
Saj Dhaj Ke ॥

Bhola Tan Pe Bhasm Lagaye,
Man Mein Gaura Ko Basaye,
Chale Hai Bhola,
Saj Dhaj Ke,
Sankhiya Mangal Gaati Hain,
Bhoot Pret Baaraati Hain ॥

शिव चालीसा | लिङ्गाष्टकम् | शिव आरती | शिव भजन | शिव पंचाक्षर स्तोत्र | द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र

चले है भोला, सज धज के - भजन हिन्दी में पढ़ें

भोला तन पे भस्म लगाये, मन में गौरा को बसाये, चले है भोला, सज धज के, संखिया मंगल गाती हैं, भूत प्रेत बाराती हैं ॥
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanAnuradha Paudwal Bhajan

Other Popular Chale Hai Bhola Saj Dhaj Ke Video

By Debashish Dasgupta

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kishori Kuch Aisa Intazam Ho Jaye

Kishori Kuch Aisa Intezaam Ho Jaye । Juba Pe Radha Radha, Radha Naam Ho Jaye | Jab Girte Hue Mainne Tere Naam Liya Hai

Naam Meri Radha Rani Ka Jis Jis NeGaya Hai

Naam Meri Radha Rani Ka Jis Jis Ne Gaya Hai, Banke Bihari Ne Use Apana Banaya Hai, Jai Radhe Jai Radhe Jai Shree Radhe Bolo Jai Radhe ॥

Radhe Radhe Japo Chale Aayenge Bihari

Radhe Radhe Japo Chale Ayenge Bihari, Radhe Radhe Rato Chale Ayenge Bihari, Ayenge Bihari Chale Ayenge Bihari, Radhe Radhe Japo Chale Ayenge Bihari ॥

Mithe Ras Se Bharyo Ri Radha Rani Lage

Mithe Ras Se Bhariyo Ri, Radha Rani Lage, Maharani Lage..

Lakshmi Bhajan

.Most sent Bhajans, Mantras, Aarti and songs in Diwali Puja, Dhanteras Puja and Shri Kuber Puja.

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP