पितृ पक्ष - Pitru Paksha
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Gauri Sut Ganraj Gajanan Vighna Haran Mangal Kari (गौंरी सुत गणराज गजानन, विघ्न हरण मंगल कारी: भजन)


Gauri Sut Ganraj Gajanan Vighna Haran Mangal Kari
Gauri Sut Ganraj Gajanan,
Vighna Haran Mangal Kari,
Jo Nar Tumhai Pratham Manavo,
Jo Nar Tumhai Pratham Manavo,
Dubidha Mit Jave Sari,
Gauri Sut Ganraj Gajanan,
Vighna Haran Mangal Kari ॥
Pratham Pooj‍yaniy Tu Hai Baaba Tera,
Sabase Pahale Dhyan Kiya,
Badhaon Se Mukti Pane,
Tera Hi Aahvan Kiya,
Aao Savaro Kaj Hamare,
Bal Buddhi Ke Bhandari,
Gauri Sut Ganraj Gajanan,
Vighna Haran Mangal Kari,
Gauri Sut Ganraj Gajanan ॥

Shiv Shankar Ke Laal Padharo,
Aaj Hamare Kirtan Mein,
Aakar Puri Kar Dena Prabhu,
jo Bhi Aasha Hai Maan Mein,
Tere Swagat Ki Kar Li Hai,
Humne Sari Tayari,
Gauri Sut Ganraj Gajanan,
Vighna Haran Mangal Kari,
Gauri Sut Ganraj Gajanan ॥

Riddhi Siddhi Ko Bhi Sang Mein Lana,
Gauri Putra Ganesh Mere,
Bhar Dena Bhandar hamara,
Bigde Kaam Bane Mere,
Rakhna Hari Bhari Prabhu Tum Hardam,
Bhakton Ki ye Phulavari,
Gauri Sut Ganraj Gajanan,
Vighna Haran Mangal Kari,
Gauri Sut Ganraj Gajanan ॥

Gauri Sut Ganraj Gajanan,
Vighna Haran Mangal Kari,
Jo Nar Tumhai Pratham Manavo,
Jo Nar Tumhai Pratham Manavo,
Dubidha Mit Jave Sari,
Gauri Sut Ganraj Gajanan,
Vighna Haran Mangal Kari ॥

गौंरी सुत गणराज गजानन, विघ्न हरण मंगल कारी: भजन हिन्दी में पढ़ें

गौरी सुत गणराज गजानन, विघ्न हरण मंगल कारी, जो नर तुमको प्रथम मनावे, जो नर तुमको प्रथम मनावे, दुविधा मिट जावे सारी, गौंरी सुत गणराज गजानन, विघ्न हरण मंगल कारी ॥
Read Also

Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Kitna Roi Parvati Shivnath Ke Liye

Kitna Roi Parvati, Shivnath Ke Liye, Main To Pran Bhi Taj Dungi, Bholenath Ke Liye, Sabne Kitna Samjhaya,
Par Na Mani Mahamaya ॥

Shiv Parvati Ne Tumhe Vardan De Diya

Kalayug Mein Bhav Se Paar, Chaaho Bhakto Jo Jaana, Gauri Gajananan Ko Sada, Man Se Hi Dhyaana, Bhakto Ke Man Mein Tumne, Apna Sthaan Kar Diya, Shri Ganesh Ye Kalyug, Tumhare Naam Kar Diya ॥

Sheesh Gang Ardhang Parvati

Sheesh Gang Ardhang Parvati, Sada Virajat Kailasi । Nandi Bhrngi Nrty Karat Hain, Dharat Dhyan Sur Sukhrasi ॥

Main Bhola Parvat Ka

Main Bhola Parvat Ka, Rai Tu Rani Mahala Ki, Teri Meri Paar Padai Na, Beshak Likhi Pahala Ki..

Har Har Shambhu

Har Har Shambhu Shambhu Shambhu Shambhu Shiv Mahadeva, Shambhu Shambhu Shambhu Shambhu Shiv Mahadeva..

Parvati Tera Bhola Jagat Me Sabse Nirala Hai

Parvati Tera Bhola, Jagat Mein Sabse Nirala Hai । Jo Mai Hoti Ganga Jaisi

Navratri Specials 2026 - Navratri Specials 2026
Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Bhakti Bharat APP