Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Hamne Aangan Nahi Buhara, Kaise Ayenge Bhagwan (हमने आँगन नहीं बुहारा - भजन)


Hamne Aangan Nahi Buhara, Kaise Ayenge Bhagwan
Hamane Aangan Nahin Buhara,
Kaise Aayenge Bhagawan ।
Man Ka Mail Nahin Dhoya To,
Kaise Aayenge Bhagawan ॥
Har Kone Kalmash-Kashay Ki,
Lagi Hui Hai Dheri ।
Nahin Gyan Ki Kiran Kaheen Hai,
Har Kothari Andheri ।
Aangan Chaubaiara Andhiyara,
Kaise Aayenge Bhagawan ॥

Hriday Hamara Pighal Na Paya,
Jab Dekha Dukhiyara ।
Kisi Panth Bhoole Ne Hamase,
Paaya Nahin Sahara ।
Sookhi Hai Karuna Ki Dhara,
Kaise Aayenge Bhagawan ॥

Antar Ke Pat Khol Dekh Lo,
Eeshwar Paas Milega ।
Har Prani Mein Hi Parameshwar,
Ka Aabhas Milega ।
Sachche Mann Se Nahin Pukara,
Kaise Aayenge Bhagawan ॥

Nirmal Mann Ho To Raghunayak,
Shabari Ke Ghar Jate ।
Shyam Soor Ki Banhe Pakadate,
Shaag Vidur Ghar Khate ।
Is Par Hamane Nahin Vichara,
Kaise Aayenge Bhagawan ॥

Hamane Aangan Nahin Buhara,
Kaise Aayenge Bhagawan ।
Man Ka Mail Nahin Dhoya To,
Kaise Aayenge Bhagawan ॥

हमने आँगन नहीं बुहारा - भजन हिन्दी में पढ़ें

हमने आँगन नहीं बुहारा, कैसे आयेंगे भगवान् । मन का मैल नहीं धोया तो, कैसे आयेंगे भगवान्...
Read Also

Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Ram BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navami BhajanVijay Dashami BhajanSunderkand BhajanRamcharitmanas Katha BhajanAkhand Ramayana BhajanMaithili Thakur Bhajan

Other Popular Hamne Aangan Nahi Buhara, Kaise Ayenge Bhagwan Video

BY SINGER ISHITA VISHWAKARMA

Pandit Gaurangi Gauri Ji

Pujya Rajan Ji Maharaj

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Yashomati Nandan Brijwar Nagar

Yashomati Nandan Brijbar Nagar, Gokul Ranjan Kanha, Gopi Paran Dhan Madan Manohar...

Tum Bin Mori Kaun Khabar Le Govardhan Girdhari

Tum Bin Mori Kaun Khabar Le, Govardhan Girdhari । Bhari Saba Mein Droupadi Khadi, Raakho Laaj Hamari ।

Hum Sharan Teri Aaye Hai Jhukane Ko Ye Sar

Hum Sharan Teri Aaye Hai, Jhukane Ko Ye Sar, Kar Do Uddhar Prabhu Mera, Daal Ke Ik Najar, Hum Sharan Teri Aaye Hai, Jhukane Ko Ye Sar ॥

Mero Choto So Laddu Gopal Sakhi Ri Bado Pyaro Hai

Mero Choto so Laddu Gopal, Sakhi Ri Bado Pyaro Hai । Ankhiyan Matkaye Jab Subah Jage

Govind Jai Jai, Gopal Jai Jai

Govind Jai-jai, Gopal Jai-jai । Radha-raman Hari, Govind Jai-jai ॥

Aaj Biraj Mein Hori Re Rasiya

Aaj Biraj Mein Hori Re Rasiya, Hori Re Hori Re Barajori Re Rasiya...

Holi Bhajan: Holi Khel Rahe Nandlal

Holi Khel Rahe Nandalal Vrindavan Kunj Galin Mein। Vrindavan Kunj Galin Mein, Vrindavan Kunj Gali

Om Jai Jagdish Hare Aarti - Om Jai Jagdish Hare Aarti
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP