Holi 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

He Mere Gurudev Karuna Sindhu Karuna Keejiye (हे मेरे गुरुदेव करुणा सिन्धु करुणा कीजिये - भजन)


He Mere Gurudev Karuna Sindhu Karuna Keejiye
गुरुर्ब्रह्मा ग्रुरुर्विष्णुः, गुरुर्देवो महेश्वरः ।
गुरुः साक्षात् परं ब्रह्म, तस्मै श्री गुरवे नमः ॥
Sat Gurudev Shraddha Suman Arpan:

Mere Gurudev Charanon Par , Suman Shraddha Ke Arpit Hain ।
Teri Hi Den Hai Jo Hai , Tere Charanon Pe Arpit Hai ॥

Na Priti Hai Pratiti Hai , Nahin Pujan Ki Shakti Hai ।
Mera Yah Man Mera Yah Tan , Mera Jivan Samarpit Hai ॥

Teri Ichchhayen Hon Meri Mere Sab Karm Hon Tere ।
Bana Le Yantr Ab Mujhko Mera Kan Kan Samarpit Hai ॥

Tumhi Ho Bhav Mein Mere Vicharon Mein Pukaron Mein ।
Tere Charanon Pe He Guruvar Mera Sarvaswa Arpit Hai ॥

Guru Yachna:
He Mere Gurudev Karuna Sindhu Karuna Kijiye ।
Hun Adham Adhin Ashran, Ab Sharan Mein Lijiye ॥

Kha Raha Gote Hun Main Bhavasindhu Ke Majhadhar Mein ।
Asara Hai Dusra Koi Na Ab Sansar Mein ॥
Mujhmain Hai Jap Tap Na Sadhan Aur Nahin Kuch Gyan Hai ।
Nirlajta Hai Ek Baki Aur Bas Abhiman Hai ॥
Pap Bojhe Se Ladi Naiya Bhanvar Mein Ja Rahi ।
Nath Daudo, Ab Bachao Jald Dubi Ja Rahi ॥
॥ Hai Mere Gurudev Karuna Sindhu … ॥

Ap Bhi Yadi Chhod Denge Phir Kahan Jaunga Main ।
Janm-duhkh Se Nav Kaise Par Kar Paunga Main ॥
Sab Jagah "Manjul" Bhatak Kar, Li Sharan Prabhu Apaki ।
Par Karana Ya Na Karana, Donon Marji Apaki ॥
॥ Hai Mere Gurudev Karuna Sindhu … ॥

Ap Hi Mata Pita Prabhu Ap Hi Bhagwan Ho ।
Sarv Sukh Data Sakha Bhrata Ho Sadguru Pran Ho ॥
Prabhu Apke Upkar Ka Ham Rinn Chuka Sakate Nahin ।
Binu Kripa Ke Shanti Sukh Ka Sar Pa Sakte Nahin ॥
॥ Hai Mere Gurudev Karuna Sindhu … ॥

Dijie Vah Bhakti Humko Sadguni Sansar Mein ।
Man Ho Manjil Dharm Mein Aru Tan Lage Upkar Mein ॥

Hai Mere Gurudev Karuna Sindhu Karuna Kijiye ।
Hun Adham Adhin Ashran Ab Sharan Mein Lijiye ॥

हे मेरे गुरुदेव करुणा सिन्धु करुणा कीजिये - भजन हिन्दी में पढ़ें

हे मेरे गुरुदेव करुणा सिन्धु करुणा कीजिये। हूँ अधम आधीन अशरण, अब शरण में लीजिये ॥
Read Also

Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanGuru Purnima BhajanVyasa Purnima BhajanSant Ravidas BhajanRavidas Jayanti Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Sar Pe Chunariya Lal Aur Hatho Mein Mehandi Rachai Hai

Sar Pe Chunariya Lal, Aur Hathon Mein Mehndi Rachai Hai, Bhakto Ke Ghar Maan Aai Hai, Sar Pe Chunariya Lal..

Dware Tihare Badi Bheed Ho Jagdambe

Dware Tihare Badi Bheed Ho Jagdambe-maiya, Maiya Dware Tere Kanya Pukare...

Maa Choti Choti Kanyaen

Dekhi Tere Darbar Maa, Chhoti-chhoti Kanyaen । Leela Karen Apar Maa, Chhoti-chhoti Kanyaen ॥..

Chintapurni Maan Meri Bhi Bigdi Banao

Namo Namo Maan Chintapurani , Namo Namo Maan Chintapurani, E Chintapurani Maan, Meri Bhi Bigadi Banao, Main Sharan Pada Teri Mere Soye Bhag Jagao

Main Hoon Beti Tu Hai Mata

Mai Hoon Beti Tu Hai Mata, Ye Hai Janam-janam Ka Nata । Mata Raniyen Tujhe Main Bulane Aai Hoon..

Aju Hori Hai Hori Hai Aju Hori Hai

Aaju Hori Hai Hori Hai Aaju Hori Hai। Rang Birang Rang Pichkaarin, Ang Ang Rang Bori Hai।

Yashomati Nandan Brijwar Nagar

Yashomati Nandan Brijbar Nagar, Gokul Ranjan Kanha, Gopi Paran Dhan Madan Manohar...

Durga Chalisa - Durga Chalisa
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP