Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Jin Par Kirpa Ram Kare (जिन पर कृपा राम करे: भजन)


Jin Par Kirpa Ram Kare
Ram Naam Aadhar Jinhen,
Vo Jal Mein Rah Banate Hain,
Jin Par Krpa Ram Karen,
Vo Patthar Bhi Tir Jate Hain ॥
Lakshy Ram Ji Siddhi Ram Ji,
Ram Hi Rah Banayi,
Ram Karm Hain Ram Hi Karta,
Ram Ki Sakal Badai
Ram Kaam Karne Walon Mein,
Ram Ki Shakti Samayi,
Prthak Prthak Namo Se,
Sare Kaam Karen Raghurai,
Bhakt Parayan Nij Bhakto Ko,
Sara Shrey Dilate Hai,
Jin Par Krpa Ram Karen,
Vo Patthar Bhi Tir Jate Hain ॥

Ghat Ghat Baske Aap Hi Apna,
Naam Rata Dete Hai,
Naam Rata Dete Hai,
Har Karaj Mein Nij Bhakto Ka,
Hath Bata Dete Hai,
Hath Bata Dete Hai,
Badhaon Ke Sare Paththar,
Ram Hata Dete Hai,
Apne Upar Lekar Unka,
Bhar Ghata Dete Hai,
Paththar Kya Prabhu Teeno Lok Ka,
Sara Bhar Uthate Hai,
Jin Par Krpa Ram Karen,
Vo Patthar Bhi Tir Jate Hain ॥

Ram Naam Aadhar Jinhen,
Vo Jal Mein Rah Banate Hain,
Jin Par Krpa Ram Karen,
Vo Patthar Bhi Tir Jate Hain ॥

जिन पर कृपा राम करे: भजन हिन्दी में पढ़ें

राम नाम आधार जिन्हें, वो जल में राह बनाते हैं, जिन पर कृपा राम करें..
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanRam Sita Vivah BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily Bhajan

Other Popular Jin Par Kirpa Ram Kare Video

By Devi Hemlata Shastri

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Radhe Radhe Japo Chale Aayenge Bihari

Radhe Radhe Japo Chale Ayenge Bihari, Radhe Radhe Rato Chale Ayenge Bihari, Ayenge Bihari Chale Ayenge Bihari, Radhe Radhe Japo Chale Ayenge Bihari ॥

Tu Hi Kanhaiya Tu Hi Lakhdatar Hai

Tu Hi Kanhaiya Tu Hi Lakhdatar Hai, Lakhdatar Hai Tu Lile Ka Sawar Hai, Sanware Teri to Lila Aprampar Hai, Mohana Tu Hi Lakhdatar Hai ।

Itni Kirpa Sanware Banaye Rakhna

Itni Kirpa Sanware Banaye Rakhna, Marte Dam Tak Seva Mein Lagaye Rakhna, Itni Kirpa Sanware ॥

Dhara Too Beh Rahi Hai

Dhara to Bah Rahi Hai, Shri Radha Naam Ki, Radha Radha Ratat Hi, Sab Vyadha Mit Jaye..

Mhara Kunj Bihari Krishna Murari

Mhara Kunj Bihari, Krishn Murari, Barsaane Baaga Mein Bole Mor ॥

Har Saans Me Ho Sumiran Tera

har saans me ho sumiran tera, yu bit jaaye jeevan mera, teri puja karte bite saanjh savera

Prabhu Soch Lo Jag Tumhe Kya Kahega

Prabhu Soch Lo Jag Tumhe Kya Kahega, Agar Tera Premi Dukhde Sahega, Prabhu Sochlon Jag Tumhe Kya Kahega ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP