Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Maa Main Khada Dwar Tere (माँ मैं खड़ा द्वारे पे पल पल: भजन)


Maa Main Khada Dwar Tere
[ Tere Darbar Ka Pane Nazara,
main Bhi Aaya Hu,
zara Dedo Maan Charnon Me Sahara,
main Bhi Aaya Hoon,
suna Hai Dar Pe Tere Is Jahan Ki,
har Khushi Milti,
jaga Do Soi Kismat Ka Sitara,
main Bhi Aaya Hoon ]
Tu Jo Daya Zara Si Karde,
Sar Pe Hath Mere Maan Dhar De,
Ho Jaye Dukhde Door,
Kat Jaye Har Ek Vipda Meri,
Main Khada Dware Pe Pal Pal,
Karu Main Vinti Teri,
Maan Main Khada Dware Pe Pal Pal,
Karu Main Vinti Teri ॥

Teri Kirpa Ho Jaye,
Bigde Kaam Bane Sab Maiya,
Main Rab Ko Na Manu,
Mere Liye Tu Hi Rab Maiya,
Teri Jyot Jage Din,
Duniya Maane Shakti Teri,
Main Khada Dware Pe Pal Pal,
Karoo Main Vinti Teri ॥

Kahate Hai Tere Dil Mein,
Nadiya Mamta Ki Hai Bahati,
Kare Pyar Dular Bada,
Tu Bhakto Ke Ang Sang Rahati,
Teri Daya Ka Ant Nahin,
Karde Door Musibat Meri,
Main Khada Dware Pe Pal Pal,
Karu Main Vinti Teri ॥

Moorakh Agyani Hoon,
Mujhko Gyan Nahin Hai Koi,
Teri Mahima Kya Janoon,
Pooja Dhyan Nahin Hai Koi,
Gar Khol Se Ankhiya Tu,
Phir to Khul Jaye Kismat Meri,
Main Khada Dware Pe Pal Pal,
Karu Main Vinti Teri ॥

Jag Janani Ai Mata,
Jyoto Wali Shero Wali,
Tu Chahe to Bhar De Pal Mein,
Bhakt Ki Khali Jholi,
Kahe Phir Tu Bhavron Mein,
Naiya Phasi Hai Naiya Meri,
Main Khada Dware Pe Pal Pal,
Karu Main Vinti Teri ॥

Tu Jo Daya Zara Si Karde,
Sar Pe Hath Mere Maan Dhar De,
Ho Jaaye Dukhde Door,
Kat Jaye Har Ek Vipda Meri,
Main Khada Dware Pe Pal Pal,
Karu Main Vinti Teri,
Maan Main Khada Dware Pe Pal Pal,
Karu Main Vinti Teri ॥

माँ मैं खड़ा द्वारे पे पल पल: भजन हिन्दी में पढ़ें

मैया कृपा करदो झोली मेरी भरदो, तेरी दया का हम सदा गुणगान करेंगे, तेरा ध्यान करेंगे...
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanLakhbir Singh BhajanLakha Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ram Tumhara Naam

Ram Tumhara Naam, Sukhon Ka Saar Hua, Ram Lehar Main Jo Dooba, Bas Wo Hi Par Hua..

Gira Ja Raha Hu Utha Lo

Prabhu Apane Dar Se, Ab to Na Taalo, Gira Ja Raha Hoon, Utha Lo Utha Lo, Khali Na Jata Koi Dar Se Tumhare..

Jo Ram Ka Nahi Kisi Kaam Ka Nahi

Raja Ram Sabhi Ke Unki, Praja Hai Yahan Sari, Ek Duje Se Ram -Ram, Kahake Milte Nar Naari, Ram Naam Anmol Mile, Kahi Dam Ka Nahi, Jo Ram Ka Nahi, Kisi Kaam Ka Nahi ॥

Bhajan Karo Mitra Mila Ashram Nartan Ka

Bhajan Karo Mitr Mila, Ashram Nartan Ka । Shwas Ki Sumirini Hai, Man Ko Bana Manka ॥

Shree Ram Ayodhya Aaye Hain

Aaj Avadh Mein Utsav Bhari, Ghee Ke Deep Jalaye Hain, Cham Cham Nache Bajrangi, Shree Ram Ayodhya Aaye Hain ॥

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP