Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Main Nahi Mera Nahi Ye Tan (मैं नहीं, मेरा नहीं, यह तन - भजन)


Main Nahi Mera Nahi Ye Tan
Main Nahin, Mera Nahin,
Yah Tan Kisi Ka Hai Diya ।
Jo Bhi Apne Paas Hai,
Wah Dhan Kisi Ka Hai Diya ॥
Dene Wale Ne Diya,
Wah Bhi Diya Kis Shaan Se ।
Mera Hai Yah Lene Wala,
Kah Utha Abhiman Se
Main, Mera Yah Kahne Wala,
Man Kisi Ka Hai Diya ।

Main Nahin, Mera Nahin,
Yah Tan Kisi Ka Hai Diya ।
Jo Bhi Apne Paas Hai,
Wah Dhan Kisi Ka Hai Diya ॥

Jo Mila Hai Vah Hamesha,
Paas Rah Sakta Nahin ।
Kab Bichhud Jaye Yah Koi,
Raaj Kah Sakta Nahin ।
Zindgani Ka Khila,
Madhuvan Kisi Ka Hai Diya ।

Main Nahin, Mera Nahin,
Yah Tan Kisi Ka Hai Diya ।
Jo Bhi Apne Paas Hai,
Wah Dhan Kisi Ka Hai Diya ॥

Jag Ki Sewa Khoj Apni,
Priti Unse Keejiye ।
Zindgi Ka Raaj Hai,
Yah Jankar Ji Leejiye ।
Sadhna Ki Raah Par,
Yah Sadhan Kisi Ka Hai Diya ।

Main Nahin, Mera Nahin,
Yah Tan Kisi Ka Hai Diya ।
Jo Bhi Apne Paas Hai,
Wah Dhan Kisi Ka Hai Diya ॥

Jo Bhi Apne Paas Hai,
Wah Sab Kisi Ka Hai Diya ।
Main Nahin, Mera Nahin,
Yah Tan Kisi Ka Hai Diya ।
Jo Bhi Apne Paas Hai,
Wah Dhan Kisi Ka Hai Diya ।

Main Nahin, Mera Nahin,
Yah Tan Kisi Ka Hai Diya ।
Jo Bhi Apne Paas Hai,
Wah Dhan Kisi Ka Hai Diya ॥

मैं नहीं, मेरा नहीं, यह तन - भजन हिन्दी में पढ़ें

मैं नहीं, मेरा नहीं, यह तन किसी का है दिया। जो भी अपने पास है..
 
 
Read Also

Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Ram BhajanShri Krishna BhajanKrishna Chandra Shastri Thakur Ji Bhajan

Other Popular Main Nahi Mera Nahi Ye Tan Video

Main Nahi Mera Nahi Ye Tan By Pujya Rajan Ji

Main Nahi Mera Nahi Ye Tan By Devi Chitralekha Ji

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kripa Karo Hey Shanidev

Kripa Karo Hey Shani dev, Kripa Karo Hey Shani dev, Majhadhar Mein Hai Naiyya, Majhadhar Mein Hai Naiyya Prabhu Paar Karo ॥

Patal Vijay Karke Aaye Ulte Hanuman Ji

Ulat Palat Kar Di Lanka, Veer Balban Ji, Patal Bijay Kar ke Aaye, Ulte Hanuman Ji, Jay Jay Shree Ram Ki,
Jay Hanuman Ki ॥

Ram Naam Tu Japle Re Bande Banenge Tere Kaam

Ram Naam Tu Jap Le Re Bande, Banenge Tere Kaam, Kyo Bhatake Nar Dagar Dagar, Antim Saty Hai Ram, Bolo Ram Ram Ram, Bolo Ram Ram Ram ॥

Japa Kar Baith Kar Bande Ram Ka Naam Pyara Hai

Japa Kar Baith Kar Bande, Ram Ka Naam Pyara Hai, Ram Ka Naam Pyara Hai, Prabhu Ka Naam Pyara Hai, Japa Kar Baith Kar Bande, Ram Ka Naam Pyara Hai ॥

Ram Janmabhoomi Par Jakar Jeet Ke Deep Jalayenge

Ram Janmbhoomi Par Jakar, Jeet Ke Deep Jalayenge, Kalyug Ke Ravan Ab Bhay Se, Apni Khair Manayenge ॥

Har Desh Me Tu Har Bhesh Me Tu

Har Desh Mein Tu, Har Bhesh Mein Tu, Tere Naam Anek Tu Ekhi Hai । Teri Rangbhoomi Yah Vishwa Bhara...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP