Sawan 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol (मेरे लखन दुलारें बोल कछु बोल: भजन)


Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol
Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol,
Mat Bhaiya Ko Rula Re Bol kuch Bol,
Bhaiya Bhaiya Kaha Ke,Bhaiya Bhaiya Kaha Ke,
Rash Prano mein Ghol,
Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol ॥
Is Dharti Pe Aur Na Hoga,
Mujh Jesa Hatbhaga,
Mere Rahte Ban Shakti Ka,
Tere Maan Mein Laga,
Ja Nahi Sakta Chod Ke Ase,
Mujhse Sneh Ka Dhaga,
Mein Bhi Apne Pran Tajunga,
Aaj Jo Tu Nahi Jaga,
Ankhiyo Ke Taare, Ankhiyo Ke Taare,
Lalla Ankhiya Tu Khol,
Mere Lakhan Dularen Bol Kachhu Bol,
Mat Bhaiya Ko Rula Re Bol kuch Bol ॥

Biti Jaye Rena Pabansut,
Kyun Ab Tak Nahi Aaye,
Bujhta Jaye Aash Ki Dipak,
Manwa Dheer Gawaye,
Sury Nikalakar Sury Vansh Ka,
Sury Dubo Na Jae,
Bina Bulaye Bolane Wala,
Bole Nahin Bulaye,
Chup Chup Rahake, Chup Chup Rahake,
Mera Dhiraj Na Tol,
Mere Lakhan Dularen Bol Kachhu Bol,
Mat Bhaiya Ko Rula Re Bol kuch Bol ॥

Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol,
Mat Bhaiya Ko Rula Re Bol kuch Bol,
Bhaiya Bhaiya Kaha Ke,Bhaiya Bhaiya Kaha Ke,
Rash Prano mein Ghol,
Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol ॥

मेरे लखन दुलारें बोल कछु बोल: भजन हिन्दी में पढ़ें

मेरे लखन दुलारे बोल कछु बोल, मत भैया को रुला रे बोल कछु बोल, भैया भैया कह के, भैया भैया कह के, रस प्राणों में घोल, मेरे लखन दुलारें बोल कछु बोल ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanPrem Bhushan Ji Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Saniwar Ko Kasht Kate Mangal Ho Mangalwar

Aa Jao Aur Kirapa Pa Lo, Haphte Mein Do Baar, Mere Bajarangi Ke Dwar, Mere Bajarangi Ke Dwar,
Shanivar Ko Kasht Kate, Mangal Ho Mangalavar, Mere Bajarangi Ke Dwar, Mere Bajarangi Ke Dwar ॥

Jao Mere Hanuman Booti Le Aao

Jao Mere Hanuman Booti Le Aao, Lakhan Ke Rakho Pran Booti Le Aao ॥

Shree Ram Bhakt Bajrangi Tere Khel Hai Ajab Nirale

Shree Ram Bhakt Bajarangi, Tere Khel Hai Ajab Nirale, Prabhu Ki Sewa Main Tumne, Prabhu Ki Sewa Main Tumne, Kitne Hi Kaaj Saware, Shree Ram Bhakt Bajarangi, Tere Khel Hai Ajab Nirale ॥

Mujhe Tera Sahara Sada Chahiye

Aasra Is Jahaan Ka Mile Na Mile, Mujhe Tera Sahara Sada Chahiye ॥

Sawan 2026 - Sawan 2026
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP