Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Meri Jholi Chhoti Padgayi Re Itna Diya Meri Mata (मेरी झोली छोटी पड़ गयी रे: भजन)


Meri Jholi Chhoti Padgayi Re Itna Diya Meri Mata
Meri Jholi Chhoti Pad Gayi Re,
Itna Diya Meri Mata ।
Meri Bigdi Maa Ne Banayin,
Soyi Takadir Jagaayi ।
Ye Baat Na Suni Sunai,
Main Khud Biti Batalata Re ।
Itna Diya Meri Mata,
॥ Meri Jholi Chhoti Pad… ॥

Maan Mila Samman Mila,
Gunvaan Mujhe Santan Mili ।
Dhan Dhaan Mila Nit Dhyan Mila,
Maa Se Hi Mujhe Pahachan Mili ।
Gharabar Diya Mujhe Maa Ne,
Beshumar Diya Mujhe Maa Ne,
Har Bar Diya Mujhe Maa Ne,
Jab Jab Main Mangne Jata ।
Mujhe Itna Diya Meri Mata,
॥ Meri Jholi Chhoti Pad… ॥

Mera Rog Kata Mera Kasht Mita,
Har Sankat Maa Ne Door Kiya,
Bhule Se Kabhi Jo Gurur Kiya,
Mere Abhiman Ko Choor Kiya ।
Mere Ang Sang Hui Sahai,
Bhatke Ko Raah Dikhai ।
Kya Leela Maa Ne Rachai,
Main Kuch Bhi Samajh Na Pata ।
Itna Diya Meri Mata,
॥ Meri Jholi Chhoti Pad… ॥

Upakar Kare Bhav Paar Kare,
Sapne Sab Ke Sakar Kare ।
Na Der Kare Maa Mehar Kare,
Bhakto Ke Sada Bhandar Bhare ।
Mahima Nirali Maa Ki,
Duniya Hai Sawali Maa Ki ।
Jo Lagan Laga Le Maa Ki,
Mushkil Mein Nahin Ghabrata Re ।
Itna Diya Meri Mata,
॥ Meri Jholi Chhoti Pad… ॥

Kar Koi Jatan Ai Chanchal Man,
Tu Hoke Magan Chal Maa Ke Bhawan ।
Pa Jaye Nayan Pavan Darshan,
Ho Jaye Saphal Phir Ye Jivan ।
Tu Tham Le Maa Ka Daman,
Na Chinta Rahe Na Uljhan ।
Din Raat Manan Kar Sumiran,
Chaakar Maa Kahlata ।
Itna Diya Meri Mata,
॥ Meri Jholi Chhoti Pad… ॥

Meri Jholi Chhoti Pad Gayi Re,
Itna Diya Meri Mata ।
Meri Bigdi Man Ne Banayin,
Soyi Takdir Jagayi ।
Ye Baat Na Suni Sunai,
Main Khud Biti Batlata Re ।
Itna Diya Meri Mata,
॥ Meri Jholi Chhoti Pad… ॥

मेरी झोली छोटी पड़ गयी रे: भजन हिन्दी में पढ़ें

मेरी झोली छोटी पड़ गयी रे, इतना दिया मेरी माता। मेरी बिगड़ी माँ ने बनायीं..
 
Next »
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanMaa Durga BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday Bhajan

Other Popular Meri Jholi Chhoti Padgayi Re Itna Diya Meri Mata Video

Meri Jholi Choti Padh Gayi By Anuradha Paudwa

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tera Shukar Kara Bappa, Tera Shukar Kara

Tera Shukr Kara Ve Bappa, Main Tera Shukr Karan, Tera Shukr Kara Ve Ganpati , Main Tera Shukr Karan, Tusan Lagiya Tod Nibhaian, Main Tera Shukr Kara...

Ek Baar To Radha Bankar Dekho Mere Sawariya

Ek Baar To Radha Bankar Dekho, Mere Sawariya, Radha Yun Ro Ro Kahe, Radha Yun Ro Ro Kahe ॥

Mera Shyam Khatu Wala

Naiya Chala Raha Hai Mera Shyam Khatu Wala,
Mujhko Bacha Raha Hai Mera Shyam Khatu Wala ॥

Mero Radha Raman Girdhaari

Menro Radha Raman Giradhari, Giradhari Shyaam Banavari, Menro Radha Raman Giradhari..

Radha Kon Se Punya Kiye Tune

Radha Kaun Se Puny Kiye Tune, Jo Hari Roj Tere Ghar Aate Hain ॥ Radha Jab Solah Shringar Kare,...

Sanwariyo Hai Seth Mhari Radha Ji Sethani Hai

Sanwariyo Hai Seth, Mhari Radha Ji Sethani Hai, Sanvariyon Hai Seth, Mhari Radha Ji Sethani Hai, Ye To Jane Duniya Sari Hai ॥

Laaj Rakho Hey Krishna Murari

Laaj Rakho Hey Krishna Murari, Hey Girdhari Hey Banwari, Laaj Rakhon Hey Krishna Murari ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP