O Maiya Taine Ka Thani Man Mein,
Ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein,
Deewani Taine Ka Thani Man Mein,
Ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥
Jadapi Bharat Tero Hi Jaayo,
Teri Karni Dekh Lajayo,
Apnon Pad Taine Aap Ganvayo,
Bharat Ki Najran Mein,
Ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥
hathili Taine Ka Thani Man Mein,
ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥
Mehal Chhod Vahan Nahin Re Madaiya,
Siya Sukumari,sang Dou Bhiya,
Kahu Vrksh Tar Bhijat Honge,
Teenon Mehan Mein,
Ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥
hathili Taine Ka Thaani Man Mein,
ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥
Kaushalya Ki Chhin Gayi Bani,
Roy Na Saki Urmil Deewani,
Kaikeyi Tu Bas Ek Hi Rani,
Rah Gayi Mahalan Mein,
Ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥
hathili Taine Ka Thani Man Mein,
ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥
O Maiya Taine Ka Thani Man Mein,
Ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein,
Deewani Taine Ka Thani Man Mein,
Ram-siya Bhej Daye Ri Ban Mein ॥