Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Ram Kahani Suno Re Ram Kanahi (राम कहानी सुनो रे राम कहानी - भजन)


Ram Kahani Suno Re Ram Kanahi
Shri Ram Navami, Vijaya Dashami, Sundarkand, Ramcharitmanas Katha, Hanuman Janmotsav Aur Akhand Ramayan Ke Path Mein Pramukhta Se Gaye Jane Vala Bhajan ।
Ram Kahani Suno Re Ram Kahani ।
Kahat Sunat Aave Ankhon Mein Pani ।
Shri Ram, Jay Ram, Jay-jay Ram ॥

Dashrath Ke Raaj Dulare,
Kaushalya Ki Aankh Ke Tare ।
Ve Surya Vansh Ke Suraj,
Ve Raghukul Ke Ujjyare ।
Rajiv Nayan Bolen Madhubhari Vani ।
॥ Ram Kahani Suno Re Ram Kahani… ॥

Shiv Dhanush Bhang Prabhu Karke,
Le Aaye Sita Var Ke ।
Ghar Tyag Bhaye Vanvasi,
Pit Ki Aagya Sar Dhar Ke ।
Lakhan Siya Le Sang, Chhodi Rajdhani ।
॥ Ram Kahani Suno Re Ram Kahani… ॥

Khal Bhesh Bhikshu Dhar Ke,
Bhiksha Ka Aagrah Karke ।
Us Janak Suta Sita Ko,
Chhal Bal Se Le Gaya Har Ke ।
Bada Duhkh Pave Raja Ram Ji Ki Rani ।
॥ Ram Kahani Suno Re Ram Kahani… ॥

Shri Ram Ne Mohe Pathayo,
Main Ram Doot Ban Aayo ।
Sita Maa Ki Seva Mein,
Raghuvar Ko Sandesa Layo ।
Aur Sang Layo,
Prabhu Mudrika Nisani ।
॥ Ram Kahani Suno Re Ram Kahani… ॥

Ram Kahani Suno Re Ram Kahani ।
Kahat Sunat Aave Aankhon Mein Pani ।
Shri Ram, Jay Ram, Jay-jay Ram ॥

राम कहानी सुनो रे राम कहानी - भजन हिन्दी में पढ़ें

राम कहानी सुनो रे राम कहानी। कहत सुनत आवे आँखों में पानी। श्री राम, जय राम, जय-जय राम...
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah BhajanShri Vishnu BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami Bhajan Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Nirdhan Kahe Dhanwan Sukhi

Deen Kahe Dhanwan Sukhi, Dhanwan Kahe Sukh Raja Ko Bhari । Raja Kahe Maharaja Sukhi

Haare Ka Sahara Baba Shyam Hamara

Japta Phirun Main Naam Tumhara, Hare Ka Shahara Baba Shyam Hamara, Teri Soni Surat Pe Dil Hun Main Hara, Hare Ka Shahara Baba Shyam Hamara ॥

Apne Lala Ki Sun Lo Shikayat Jo Batane Ke Kabil Nahin Hai

Apne Lala Ki Sun Lo Shikayat, Jo Batane Ke Kabil Nahin Hai, Wo Jo Deta Hai Dard Ye Dil Ko, Wo Dikhane Ke Kabil Nahi Hai, Apne Lala Ki Sun Lo Shikayat, Jo Batane Ke Kabil Nahin Hai ॥

Shrinath Banke Dinanath Banake Chale Aana Prabhuji Chane Aana

Shrinath Banke Dinanath Banake, Chale Aana Prabhuji Chane Aana ॥

Aata Raha Hai Sanwara Aata Hi Rahega

Aata Raha Hai Sanwara, Aata Hi Rahega, Deenon Ki Laaj Shyam, Deenon Ki Laaj Shyam, Bachata Hi Rahega, Aata Raha Hai Sanwara, Aata Hi Rahega ॥

Bhole Teri Nagri Main Dil Mera Kho Jaye

Om Namah Shivay… Om Namah Shivay… Gunje Yeh Sansar Men… Har Har Mahadev…Bhole Teri Nagari Men, Dil Mera Kho Jaye..

Har Har mahadev Shambhukashi Vishwanath Gange

Har Har Mahadev Shambhu, Har Har Mahadev Shambhu Kashi Vishwanath Gange l

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP