Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Ram Tumhara Naam (राम तुम्हारा नाम - भजन)


Ram Tumhara Naam
Ram Tumhara Naam
Sukhon Ka Saar Hua
Ram Tumhara Naam
Sukhon Ka Saar Hua
Ram Lehar Main Jo Dooba
Bas Wo Hi Par Hua ।

Hum Jaise Bhi Hain
Raghav Uddhar Karo
Humko Bhi Nij Charanon Mein
Sweekaar Karo
Hum Jaise Bhi Hain
Raghav Uddhar Karo
Humko Bhi Nij Charnon Mein
Sweekaar Karo ।

Jab Shabree Ka Ber
Tumhein Sweekaar Hua
Ram Lehar Main Jo Dooba
Bas Wo Hi Par Hua ।

Ram Alakh Se
Janmon Ka Andher Gaya
Jis Patthar Pe
Ram Likha Wo Tair Gaya
Ram Alakh Se
Janmon Ka Andher Gaya
Jis Patthar Pe
Ram Likha Wo Tair Gaya ।

Kaun Jagat Mein Ram
Tum Jaisa Avtaar Hua
Ram Lehar Main Jo Dooba
Bas Wo Hi Par Hua ।

Sheer Sindhu Mein
Sheshnag Par Soye The
Dekh Hamari Dasha
Nayan Bhaar Roye The
Sheer Sindhu Mein
Sheshnag Par Soye The
Dekh Hamari Dasha
Nayan Bhaar Roye The ।

Tum Utare Jo Ram
Dharti Par Upakar Huya
Ram Lehar Main Jo Dooba
Bas Wo Hi Par Hua ।

Hum Jaise Bhi Hain
Raghav Uddhar Karo
Humko Bhi Nij Charanon Mein
Sweekaar Karo
Jab Shabree Ka Ber
Tumhein Sweekaar Hua
Ram Lehar Main Jo Dooba
Bas Wo Hi Par Hua ।

Ram Tumhara Naam
Sukhon Ka Saar Hua
Ram Lehar Main Jo Dooba
Bas Wo Hi Par Hua ।
Singer - Payal Dev
Lyrics - Manoj Muntashir

राम तुम्हारा नाम - भजन हिन्दी में पढ़ें

राम तुम्हारा नाम, सुखों का सार हुआ, राम लहर मैं जो डूबा, बस वो ही पार हुआ..
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navami BhajanVijay Dashami BhajanSunderkand BhajanRamcharitmanas Katha BhajanAkhand Ramayana BhajanNew BhajanPayal Dev BhajanManoj Muntashir Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Mahabali Hanuman Ji

Sankat Mochan Naam Tumhara, Dukhiyo Ka Tum Ho Sahara, Charo Aor Gunj Raha Hai,
Naam Tera Mahan, Mahabali Hanuman Ji, Mahabali Hanuman Ji,
Ram Ram Jai Ram Ram Jai ॥

Itni Kripa Kijiye Salasar Hanuman

Itani Kirpa Kijiye, Salasar Hanuman, Ab Darshan De Do Baba, Ab Darshan De Do Baba,
Mujhe Balak Apana Jana, Itani Kirpa Kijiye, Salasar Hanuman ॥

Hai Anupam Jiski Shan Usko Kahte Hai Hanuman

Hai Anupam Jiski Saan,n Usko Kahate Hai Hanuman,nAji Suno Lagakar Kaan,nUsko Kahate Hai Hanuman,
Hai Anupam Jiski Saan,nUsko Kahate Hai Hanuman ॥

Hanumat Ke Gun Gate Chalo

Hanumat Ke Gun Gaate Chalo, Preet Ki Shradha Bahate Chalo, Ram Main Aaye Jo Koi Dukhi,
Kirapa Sabhi Pe Bahate Chalo, Preet Ki Shradha Bahate Chalo ॥

Prabhuji More Avgun Chit Naa Dharo

Prabhuji More Avgun Chit Na Dharo, Samdarshi Prabhu Naam Tiharo, Chaho to Paar Karo ।

Sawan 2026 - Sawan 2026
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP