Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Shankar Dayalu Dusra Tumsa Koi Nahi (शंकर दयालु दूसरा, तुमसा कोई नहीं - भजन)


Shankar Dayalu Dusra Tumsa Koi Nahi
Shankar Dayalu Dusra,
Tumsa Koi Nahi,
Dene Se Pahale Tu Jara,
Kyun Sochta Nahi,
Shankar Dayalu Dusra,
Tumsa Koi Nahi ॥
Bhasmasur Ne Bhakti Se,
Tujhako Rijha Liya,
Varadaan Bhasm Karane Ka,
Danav Ne Pa Liya,
Tujhako Hi Bhasm Karane Ki,
Papi Ne Thaan Li,
Dene Se Pahale Tu Jara,
Kyun Sochta Nahi,
Shankar Dayalu Dusra,
Tumsa Koi Nahi ॥

Girija Ki Jid Pe Tha Bana,
Sone Ka Wo Mahal,
Mohrat Karane Aaya Tha,
Ravan Pita Ke Sang,
Sone Ki Lanka Dustha Ki,
Jholi Main Daal Di,
Dene Se Pahale Tu Jara,
Kyun Sochta Nahi,
Shankar Dayalu Dusra,
Tumsa Koi Nahi ॥

Manthan Ki Gatha Kya Kahe,
Kya Kya Nahin Hua,
Amrut Pilaya Devon Ko,
Aur Vish Tu Pi Gaya,
Devon Ka Dev ‘Harsh’ Tu,
Duniya Ye Janati,
Shankar Dayalu Dusra,
Tumsa Koi Nahi ॥

Shankar Dayalu Dusra,
Tumsa Koi Nahi,
Dene Se Pahale Tu Jara,
Kyun Sochta Nahi,
Shankar Dayalu Dusra,
Tumsa Koi Nahi ॥

शंकर दयालु दूसरा, तुमसा कोई नहीं - भजन हिन्दी में पढ़ें

शंकर दयालु दूसरा, तुमसा कोई नहीं, देने से पहले तू जरा, क्यों सोचता नहीं, शंकर दयालु दुसरा, तुमसा कोई नहीं ॥
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shyam Teri Bansi Pukare Radha Naam

Shyam Teri Bansi Pukare Radha Naam, Log Karen Meera Ko Yunhi Badnam...

Bal Leela Radhika Gori Se Biraj Ki Chori Se

Radhika Gori Se Biraj Ki Chhori Se, Maiya Karade Mero Byaah...

Kali Kamali Wala Mera Yar Hai

Kali Kamli Wala Mera Yaar Hai, Mere Man Ka Mohan Tu Dildar Hai, Tu Mera Yaar Hai..

Fir Kaun Bigadega Jab Ram Sahara Hai

Nirbal Ho Kar Koi, Jab Unhen Pukara Hai, Phir Kaun Bigadega, Jab Ram Sahara Hai, Nirbal Hokar Koi ॥

Brahman Swarastra Mein Hon

Brahman! Swarashtra Mein Hon, Dwij Brahm Tejdhari । This prayer is sung in various gurukuls and schools of India. Students from Aryan Janata Inter College, Paigu sung this prayers in the morning assembly.

Tera Jag Hai Kare Gunagaan Gajaanan Lambodar

Tera Jag Hai Karen Gungaan, Gajanan Lambodar, Lambodar Hey Lambodar, Lambodar Hey Lambodar,
Tu Jag Mein Sabse Mahan, Gajanan Lambodar, Tera Jag Hai Kare Gungaan, Gajanan Lambodar ॥

Preet Main Puje Naam Tumhara

Preet Me Puje Naam Tumhara, Ganpati Jagat Khivaiya, Shiv Nandan Ab Aaj Hamari, Paar Lagana Naiyya, Jai Gauri Ke Lala ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP