Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Shree Ram Pyare Anjani Dulare (श्री राम प्यारे अंजनी दुलारे: भजन)


Shree Ram Pyare Anjani Dulare
Shree Ram Pyare Anjani Dulare,
Sabke Sahare Jay Mahaveer,
Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware,
Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware,
Sabke Sahare Jay Mahaveer,
Shree Ram Pyare Anjani Dulare,
Sabke Sahare Jay Mahaveer ॥
Lanka Pahunche Siya Sudhi Laye,
Sone Ki Lanka Pal Mein Jalaaye,
Chudamani Jab Ram Ko Dini,
Prabhu Hraday Se Tumako Lagae,
Bhakto Ko Lagate Ho Tum To Pyare,
Bhakto Ko Lagate Ho Tum To Pyare,
Sabke Sahare Jay Mahaveer,
Shree Ram Pyare Anjani Dulare,
Sabke Sahare Jay Mahaveer ॥

Ram Ki Bhakti Ram Ki Pooja,
Ram Bina Koe Kaaj Na Duja,
Tan Sinduri Rang Rang Dala,
Bhakti Mein Karaj Ye Kar Dala,
Ram Ram Bas Ram Pukare,
Ram Ram Bas Ram Pukare,
Sabke Sahare Jay Mahaveer,
Shree Ram Pyare Anjani Dulare,
Sabke Sahare Jay Mahaveer ॥

Ram Siya Ko Hraday Mein Dhaare,
Charan Prabhu Ke Aap Pakhare,
Ajar Amar Ho Tum Mahaveera,
Har Yug Mein Tum Paar Utaare,
Ram Ke Naam Ko Sada Uchaare,
Prabhu Ke Naam Ko Sada Uchaare,
Sabke Sahare Jay Mahaveer,
Shree Ram Pyare Anjani Dulare,
Sabke Sahare Jay Mahaveer ॥

Shree Ram Pyare Anjani Dulare,
Sabke Sahare Jay Mahaveer,
Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware,
Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware,
Sabke Sahare Jay Mahaveer,
Shree Ram Pyare Anjani Dulare,
Sabke Sahare Jay Mahaveer ॥

श्री राम प्यारे अंजनी दुलारे: भजन हिन्दी में पढ़ें

श्री राम प्यारे अंजनी दुलारे, सबके सहारे जय महावीरा, श्री राम के सब काज सवारे, श्री राम के सब काज सवारे, सबके सहारे जय महावीरा, श्री राम प्यारें अंजनी दुलारे, सबके सहारे जय महावीरा ॥
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Maa Sharde Kaha Tu Veena Baja Rahi Hain

Maa Sharde Kahan Tu, Veena Baja Rahi Hain, Kis Manju Gyan Se Tu

Hey Saraswati Maa Gyan Ki Devi Kirpa Karo

Hey Saraswati Maa Gyan Ki Devi Kirpa Karo, Dekar Varadan He Maat Mera Ajnan Haro, Karunami Hai Too Varadani Kamal Tere Kar Saje Hai..

He Hans Vahini Gyan Dayini

He Hansavaahini Gyan Dayini, Amb Vimal Mati De, Jag Siramaur Banaen Bharat

Var De Veena Vadini Var De: Saraswati Vandana

Var De, Veenavadini Var De । Priya Swatantra Rav, Amrit Mantra Nav Bharat Mein Bhar De ।

Veena Vadini Gyan Ki Devi

Veena Vadini, Gyan Ki Devi, Apani Daya Barasa Dena, Mere Sar Par Haath Dharo Maa, Gyan Ki Jyoti Jaga Dena..

Bhajan Maa Sharade Vandana

Hai Sharade Maa, Hai Sharade Maa, Agyanta Se Hamen Taar De Maa ।

Saraswati Amritwani

Suramay Veena Dharini, Saraswati Kala Nidhaan, Paavan Aasheesh Se Karade, Jan Jan Ka Kalyaan ।..

Durga Chalisa - Durga Chalisa
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP