पितृ पक्ष - Pitru Paksha
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Woh Hai Jag Se Bemisal Sakhi (वो है जग से बेमिसाल सखी: भजन)


Woh Hai Jag Se Bemisal Sakhi
Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratri, Navratri, Mata ki Chauki, Devi Jagran, Jagrata, Friday, Durga and Ashtami.
Koi Kami Nahi Hai, Dar Maiya Ke Jake Dekh
Degi Tujhe Darshan Maiya, Tu Sar Ko Jhuka Ke Dekh
Agar Aajmana Hai, Too Ajma Ke Dekh
Pal Bhar Mein Bharegi Jholi, Tu Jholi Fehla Ke Dekh

Woh Hai Jag Se Bemisal Sakhi
Maa Sherowali Kamal Sakhi - 2
Ki Ri Tuje Kya Batlaun

Woh Hai Kitni Deendayal Sakhi Ri, Tujhe Kya Batlaun
Tujhe Kya Batlaun
Woh Hai Kitni Deendayal Sakhi Ri, Tujhe Kya Batlaun
Tujhe Kya Batlaun

Jo Sacche Dil Se Dwar Maiya Ke Jaata Hai
Woh Mooh Manga Var Jag-janani Se Pata Hai - 2

Fir Rahe Na Woh, Fir Rahe Na Woh, Kangal Sakhi
Fir Rahe Na Woh, Fir Rahe Na Woh, Ho Jaye Malamal Sakhi
Ki Ri Tujhe Kya Batlaun
॥Woh Hai Kitni Deendayal Sakhi Ri...॥

Maa Pal-pal Karti Apne Bhakt Ki Rakhwali
Dukh Rog Hare Ek Pal Mein Maa Sherowali - 2

Kare Pure Sabhi, Sawal Sakhi
Bas Man Se Bharm, Nikal Sakhi - 2

Ki Ri Tujhe Kya Batlaun
॥Woh Hai Kitni Deendayal Sakhi Ri...॥

Maa Bhar De Khali Gaud, Ki Re Angan Bhar De Re
Khushiyon Ke Laga De Dher, Suhagan Kar De Re - 2

Maaon Ko Deti, Lal Sakhi
Rehne De Na Re, Koi Malal Sakhi - 2
Ki Ri Tujhe Kya Batlaun
॥Woh Hai Kitni Deendayal Sakhi Ri...॥

Har Kami Kare Poori Maa, Apne Pyaro Ki
Lambi Hai Kahani, Maiya Ke Upkaron Ki - 2

Deti Hai Musibat, Taal Sakhi
Kaha Jaye Na Sara, Haal Sakhi - 2
Ki Ri Tujhe Kya Batlaun
॥Woh Hai Kitni Deendayal Sakhi Ri...॥

Woh Hai Kitni Deendayal Sakhi Ri, Tujhe Kya Batlaun
Tujhe Kya Batlaun
Woh Hai Kitni Deendayal Sakhi Ri, Tujhe Kya Batlaun
Tujhe Kya Batlaun

वो है जग से बेमिसाल सखी: भजन हिन्दी में पढ़ें

वो है जग से बेमिसाल सखी, माँ शेरोवाली कमाल सखी, की री तुझे क्या बतलाऊं...
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanLakha Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Radha Dundh Rahi Kisine Mera Shyam Dekha

Radha Dhundh Rahi Kisi Ne Mera Shyam Dekha, O Bansi Bajate Hue, Oradha Tera Shyam Dekha
॥

Rama Rama Ratate Ratate

Popular bhajan prominently sing during Shri Ram Navami, Vijay Dashami, Sunderkand, Ramcharitmanas Ka

Chandraghanta Maa Se Arji Meri

Chandraghanta Maa Se Arji Meri, Main Das Banu Tera, Ab Jese Marji Teri, Main Das Banu Tera, Ab Jese Marji Teri ॥

Bhole Damru Baja Do Ek Baar

Bhole Damru Baja De Ek Baar Hamare Hari Kirtan Mein, Kirtan Mein Hari Kirtan Mein ॥

Thumak Chalat Ramchandra

Thumak Chalat Ramchandra, Bajat Painjaniyan Thumak Chalat Ramchandra

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Navratri Specials 2026 - Navratri Specials 2026
Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Bhakti Bharat APP