Aaye Maiya Ke Navrate (आए मैया के नवराते - भजन)


Aaye Maiya Ke Navrate,
Ho Rahe Ghar Ghar Mein,
Ho Rahe Ghar Ghar Mein Jagrate,
Rijhate Maiya Ko,
Rijhaye Maiya Ko Jhoomte Gaate,
Goonj Rahi Bhakto Ki,
Goonj Rahi Bhakto Ki Jai Jaikar,
Saja Hai Mata Ka,
Saja Hai Mata Ka Darbar ॥Bulava Jab Jab Bhawan Se Aaye,
Bhej Ke Chithiyaan Oye,
Bhej Ke Chithiyaan Maat Bulaye,
Nange Paon Oye,
Nange Paon Chalke Jayen,
Bhente Leke Oye,
Bhente Leke Khade Hai Dwar,
Maiya Darshan Do,
Maiya Darshan Do Sinh Sawar ॥

Maan Ka Koi Hai Paar Na Paya,
Roop Dhar Kanya Ka,
Roop Dhar Kanya Ka Mahamaya,
Dukhda Bhakto Ka,
Dukhda Bhakto Ka Maat Mitaya,
Kare Kanyao Ka,
Kare Kanyao Ka Jo Satkar,
Bhawani Karti Beda Paar ॥

Vaishno Maan Ki Mahima Bhari,
Haregi ‘Lakhkha’ Chintaye Saari,
Sherowali Ki,
Jotawali Ki,
Mehrawali Ki,
Ambe Rani Ki,
Taranhari Haari Maan,
‘Saral’ Chal Chalie Oye,
‘Saral’ Chal Chalie Oye Ek Baar,
Khulenge Khushiyon Ke,
Khulenge Khushiyon Ke Phir Dwar ॥

Aaye Maiya Ke Navrate,
Ho Rahe Ghar Ghar Mein,
Ho Rahe Ghar Ghar Mein Jagrate,
Rijhaate Maiya Ko,
Rijhaye Maiya Ko Jhoomte Gaate,
Goonj Rahi Bhakto Ki,
Goonj Rahi Bhakto Ki Jai Jaikar,
Saja Hai Mata Ka,
Saja Hai Mata Ka Darbar ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
आए मैया के नवराते - भजन - हिन्दी में पढ़ें
आए मैया के नवराते, हो रहे घर घर में, हो रहे घर घर में जगराते, रिझाते मैया को, रिझाए मैया को झूमते गाते, गूंज रही भक्तो की, गूंज रही भक्तो की जय जयकार, सजा है माता का, सजा है माता का दरबार ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Mere Gannayak Tum Aa Jao

Meri Sakhiyan Mujhse Poochhe Hai, Kab Aayenge Gajmukh Bolo, Ab Ashtavinayak Aa Jao, Main to Kabse Baat Nihar Rahi, Mere Gananayak Tum Aa Jaon, Main to Kabse Baat Nihar Rahi, Mere Gananayak Tum Aa Jao ॥

Gauri Sut Shankar Lal

Gauri Sut Shankar Laal, Vinayak Meri Araj Suno, Baitha Bhagvat Maha Pooran, Vinayak Meri Araj Suno, Gauri Sut Shankar Laal, Vinayak Meri Araj Suno ॥

Mere Deva Gajanand Ki Mahima Nyari

Mere Deva Gajanand Ki Mahima Niyari, Mata Gaura Shiv Pita Tripurari, Jai Ho Jai Ho Gajanand Tumhari, Jai Ho Jai Ho Gajanand Tumhari ॥

Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati

Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati, Aapki Meharbani Humen Chahiye, Pahle Sumiran Karoon Ganpati Aapka, Lab Pe Mithi Si Vani Humen Chahiye, Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati ॥

Hui Galiyon Mein Jai Jaikaar

Naachi Man Mein Umang, Bhara Khushiyon Ne Rang, Nachi Man Mein Umang, Bhara Khushiyon Ne Rang, Goonji Ganpati Teri Jaikar, Aaya Ganpati Tera Tyauhar, Hui Galiyon Mein Jai Jaikar, Aaya Ganpati Tera Tyauhar ॥