Ae Murliwale Mere Kanhaiya, Bina Tumhare Tadap Rahe Hain (ऐ मुरली वाले मेरे कन्हैया, बिना तुम्हारे..)


Aye Murli Wale Mere Kanhaiya,
Bina Tumhare Tadap Rahe Hain,
Aye Murli Walen Mere Kanhaiya,
Bina Tumhare Tadap Rahe Hain,
Tumhari Yadon Mein Pran Pyare,
Ankhon Se Ansu Chhalak Rahe Hain,
Aye Murli Walen Mere Kanhaiya,
Bina Tumhare Tadap Rahe Hain ॥
Mujhe Hai Kitni Tumse Mohabbat,
Kabhi Jara Ajma Ke Dekho,
Tumhare Kadmon Mein Mar Mitenge,
Tumhare Kadmon Mein Mar Mitenge,
Dil Mein Ye Arman Machal Rahe Hain,
Aye Murli Walen Mere Kanhaiya,
Bina Tumhare Tadap Rahe Hain ॥

Mujhe Hai Chahat Bas Ek Teri,
Na Chhodna Tum Mujhe Akela,
Tum Mujhse Bas Itna Sa Kahado,
Tum Mujhse Bas Itna Sa Kahado,
Milane Ko Tumse Hum Chal Rahe Hain,
Aye Murli Walen Mere Kanhaiya,
Bina Tumhare Tadap Rahe Hain ॥

Hum Tumse Daman Phailake Mange,
Rahamat Ki Apni Tum Bhikh De Do,
‘chitr Vichitr’ Bhi Aye Kamli Wale,
‘chitr Vichitr’ Bhi Aye Kamli Wale,
Tere Karm Pe Hi Pal Rahe Hain,
Aye Murli Walen Mere Kanhaiya,
Bina Tumhare Tadap Rahe Hain ॥

Aye Murli Wale Mere Kanhaiya,
Bina Tumhare Tadap Rahe Hain,
Aye Murli Walen Mere Kanhaiya,
Bina Tumhare Tadap Rahe Hain,
Tumhari Yadon Mein Pran Pyare,
Ankhon Se Ansu Chhalak Rahe Hain,
Aye Murli Walen Mere Kanhaiya,
Bina Tumhare Tadap Rahe Hain ॥
ऐ मुरली वाले मेरे कन्हैया, बिना तुम्हारे.. - हिन्दी में पढ़ें
ऐ मुरली वालें मेरे कन्हैया, बिना तुम्हारे तड़प रहे हैं। तुम्हारी यादों में प्राण प्यारे, आंखों से आंसू छलक रहे हैं..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanChitra Vichitra Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Diwane Shree Ram Ke

Bhagway Ke, Tilak Ke, Aur Bus Ek Naam Ke, Ham Hain Deewane - Deewane Shriram Ke, Jo Ram Ke Nahin, Na Hamare Kisi Kaam Ke, Ham Hain Deewane - Deewane Shriram Ke॥

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Laddu Gopal Mera Chota Sa Hai Lalaa

Laddoo Gopal Mera, Laddoo Gopal, Chhota Sa Hai Lala Mera...

Naiya Majhdhar Meri Tuti Patwar Meri

Naiya Majhdhar Meri, Tuti Patwar Meri, Ban Ke Tu Manjhi, Aaja Shyam Mere ॥