Mujhe Ras Aa Gaya Hai,
Tere Dar Pe Sar Jhukana ।
Tujhe Mil Gaya Pujari,
Mujhe Mil Gaya Thikana ॥
Mujhe Kaun Janta Tha,
Teri Bandagi Se Pahale ।
Teri Yad Ne Bana Di,
Meri Zindagi Fasana ॥
Mujhe Iska Gam Nahin Hai,
Ki Badal Gaya Zamana ।
Meri Zindagi Ke Malik,
Kahin Tum Badal Na Jana ॥
Yah Sar Vo Sar Nahin Hai,
Jise Rakh Dun Phir Utha Lun ।
Jab Chadh Gaya Charan Mein,
Ata Nahin Uthana ॥
Teri Sanwari Si Surat,
Mere Man Mein Bas Gayi Hai ।
Ai Sanware Salone,
Ab Aur Na Satana ॥
Duniyan Ki Kha Ke Thokar,
Main Aya Tere Dware ।
Mere Murli Vale Mohan,
Ab Aur Na Satana ॥
Meri Arju Yahi Hai,
Dam Nikle Tere Dar Pe ।
Abhi sans Chal Rahi Hai,
Kahin Tum Chale Na Jana ॥
आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam BhajanChitra Vichitra Bhajan
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!