Ajab Hairan Hoon Bhagawan Tumhen Kaise Rijhaon Main (अजब हैरान हूं भगवन! तुम्हें कैसे रिझाऊं मैं: भजन)


Ajab Hairan Hoon Bhagwan! Tumhen Kaise Rijhaon Main ।
Koi Vastu Nahin Aisee. Jise Seva Mein Laoon Main ॥
Karen Kis Taur Aawahan Ki Tum Maujood Ho Har Jaan ।
Niradar Hai Bulane Ko. Agar Ghanti Bajaoon Main ॥

Tumhin Ho Moorti Mein Bhi. Tumhin Vyapak Ho Phoolon Mein ।
Bhala Bhagwan Par Bhagwan Ko Kaise Chadhaoon Main ॥

Lagana Bhog Kuch Tumko. Yah Ek Apman Karana Hai ।
Khilata Hai Jo Sab Jag Ko. Use Kaise Khilaoon Main ॥

Tumhari Jyoti Se Roshan Hain. Sooraj. Chand Aur Tare ।
Maha Andher Hai Kaise Tumhen Deepak Dikhaoon Main ॥

Bhujaen Hain. Na Gardan Hai. Na Seena Hai Na Peshani ।
Tum Ho Nirlep Narayan. Kahan Chandan Lagaoon Main ॥

Bade Nadan Hai Ve Jan Jo Gadhte Aapki Moorat ।
Banata Hai Jo Sab Jag Ko. Use Kaise Banaoon Main ॥

Ajab Hairan Hoon Bhagwan! Tumhen Kaise Rijhaon Main ।
Koi Vastu Nahin Aisi. Jise Seva Mein Laoon Main ॥

Ajab Hairan Hoon Bhagwan! Tumhen Kaise Rijhaon Main ।
Koi Vastu Nahin Aisi. Jise Seva Mein Laoon Main ॥
अजब हैरान हूं भगवन! तुम्हें कैसे रिझाऊं मैं: भजन - हिन्दी में पढ़ें
अजब हैरान हूं भगवन! तुम्हें कैसे रिझाऊं मैं। कोई वस्तु नहीं ऐसी। जिसे सेवा में लाऊं मैं॥
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Mann Me to Aave Bhajan Banau

Mann Mein to Aave Bhajan Banaun, Bhajan Bana Ke Baalasa, Bhajan Bana Ke Baalasa Tujhko Rijhaun..

Bajrangbali Ki Shan Badi

Bajrangbali Ki Shan Badi, Ati Sundar Hai Hanumangadhi । Shri Ram Gareeb Navaj Hai, Hanumat Kalyug Ke Raja Hai

Bajrangbali Vo

Bajrangi Bali Vo,Bali Ma Bali Chir Chhati Dekhaye Na ll

Bajrangi Maharaj Tumhe Bhakt Bulate Hai

Bajrangi Maharaj, Tumhai Bhakt Bulate Hai, Tumhai Shish Jhukate Hai ॥