Bhakti Ki Jhankar Urke Ke Taron Main: Prarthana (भक्ति की झंकार उर के - प्रार्थना)


Bhakti Ki Jhankar Ur Ke,
Taron Mein Karttar Bhar Do ।
Bhakti Ki Jhankar Ur Ke,
Taron Mein Karttar Bhar Do ॥
Laut Jae Swarth, Katuta,
Dwesh, Dambh Nirash Hokar ।
Shunya Mere Mann Bhawan Mein,
Dev! Itna Pyar Bhar Do ॥

Bhakti Ki Jhankar Ur Ke,
Taron Mein Karttar Bhar Do ॥

Baat Jo Kah Doon, Hriday Mein,
Vo Utar Jaye Sabhi Ke ।
Is Niras Meri Gira Mein,
Vah Prabhav Apar Bhar Do ॥

Bhakti Ki Jhankar Ur Ke,
Taron Mein Karttar Bhar Do ॥

Krishn Ke Sadrsh Sudama,
Premiyon Ke Panv Dhone ।
Nayan Mein Mere Tarangit,
Ashru Paravar Bhar Do ॥

Bhakti Ki Jhankar Ur Ke,
Taron Mein Karttar Bhar Do ॥

Peediton Ko Doon Sahara,
Aur Girton Ko Utha Loon ।
Bahuon Mein Shakti Aisi,
Eesh Sarvadhar Bhar Do ॥

Bhakti Ki Jhankar Ur Ke,
Taron Mein Karttar Bhar Do ॥

Rang Jhuthe Sab Jagat Ke,
Ye "Prakash" Vichar Dekha ।
Kshudr Jeevan Mein Sughad Nij,
Rang Parmodar Bhar Do ॥

Bhakti Ki Jhankar Ur Ke,
Taron Mein Karttar Bhar Do ॥
भक्ति की झंकार उर के - प्रार्थना - हिन्दी में पढ़ें
भक्ति की झंकार उर के, तारों में कर्त्तार भर दो । बात जो कह दूं, हृदय में..
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Yahi Aasha Lekar Aati Hu

Yahi Asha Lekar Ati Hun, Har Bar Tumhare Mandir Mein, Kabhi Neh Ki Hogi Mujhpar Bhi Bauchhar...

Tum Asha Vishwas Hamare Bhajan

Naam Na Jane, Dham Na Jane, Jane Na Seva Pooja, Tum Asha Vishwas Hamare...

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

He Jag Trata Vishwa Vidhata

Hey Jag Trata Vishwa Vidhata, Hey Sukh Shanti Niketan He। Prem Ke Sindhu Deen Ke Bandho...

Krishna Bhajan

Famous Shri Krishna Bhajan for Janmashtami, Radhashtami, Holi, Bhagwat Katha, Gita Path, Kirtan, Bhajan Sandhya..