Bhajan: Bhari Unki Ankho Mein Hai Kitni Karuna (भरी उनकी आँखों में है, कितनी करुणा - भजन)


Bhari Unki Ankho Mein Hai, Kitani Karuna
Jakar Sudama Bhikari Se Poochho
Hai Karamat Kya Unki Charno Ki Raj
Jakar Ke Gautam Ki Nari Se Poochho

Kripa Kitni Karte Hai Sharnagato Pe
Kripa Kitni Karte Hai Sharnagato Pe

Bata Sakte Hain Yadi, Bata Sakte Hain Yadi
Bata Sakte Hain Yadi Milenge Vibhishan

Patito Ko Pawan, Vo Kaise Banate
Jatayu Saris, Mansahari Se Poochho

Hai Karamat Kya Unki Charno Ki Raj
Jakar Ke Gautam Ki Nari Se Poochho

Prabhu Kaise Sunte Hain, Dukhiyon Ki Aahen
Tumhen Gyat Ho Raja, Bali Ki Kahani

Niradhar Ka Kaun, Aadhar Hai Jag Mein
Ye Prashn Drupad Dulari Se Poochho

Hai Karamat Kya Unki Charno Ki Raj
Jakar Ke Gautam Ki Nari Se Poochho

Chama Sheelta Unme, Kitani Bhari Hai
Batayenge Bhriguji, Vo Sab Janate Hain

Hradaye Unka Bhavon Ka, Hai Kitana Bhunkha
Vidur Sabari Se, Bari Bari Se Poocho

Hai Karamat Kya Unki Charno Ki Raj
Jakar Ke Gautam Ki Nari Se Poochho
भरी उनकी आँखों में है, कितनी करुणा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
भरी उनकी आँखों में है, कितनी करुणा, जाकर सुदामा भिकारी से पूछो...
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanShri Krishna BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanPrem Bhushan Ji Bhajan

Other Popular Bhajan: Bhari Unki Ankho Mein Hai Kitni Karuna Video

Singer - Dimpal Bhumi

By Maithili Thakur, Rishav Thakur, Ayachi Thakur

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Michha Duniare Gotie Sata Jagannatha

Micha Duniare Gotie Sata (2), Jagannatha Se Mo jagannath (2)

Radhe Rani Ke Chakar Me Shyam Janana Ban Geya Re

Radhe Rani Ke Chakkar Mein Shyam Janana Ban Gaya Re, Chudi Vechan Gaya Mahal Mein Are Mahanga Pad Gaya Re, Radhe Rani Ke Chakkar Mein Shyam Janana Ban Gaya Re

Aayi Singh Pe Swar

Aayi Singh Pe Swar, Maiya Odhe Chunari, Odhe Chunari, Maiya Odhe Chunari, Aayi Singh Pe Swar Maiya ॥

Aaya Hun Maiya Dar Pe Tumhare

Aaya hun Maiya Dar Pe Tumhare, Sab Kuch Apana Chodake, Tumse Milne Ko ॥

Teri Bhakti Ka Hai Kamal Meri Maa

Sab Mujhe Puchhate Hain Kyon Main Itana Muskuraun, Meri Maa Ka Hai Yah Pyaar Jitana Chahun Badhake Paun, Sada Dukh Se Main Rahun Bekhyal Meri Maa, Sab Teri Bhakti,
Tera Laal Ho Gaya Hai Nihal Meri Maa ॥