Bhole Ki Kripa Se Hamare Thaat Nirale Hai (भोले की किरपा से हमरे, ठाठ निराले है - भजन)


Bhole Ki Kripa Se Hamare,
Thaath Nirale Hai,
Hum Baba Wale Hai,
Suno Ji Hum Baba Wale Hai ॥
Bhole Ke Chalate Bhakton,
Pehchaan Bani Hai Hamari,
Bhole Ka Hath Hai Sar Pe,
Jaane Ye Duniya Saari,
Seva Mili Humen Bhole Ji Ki,
Kismat Wale Hai,
Hum Baba Wale Hai,
Suno Ji Hum Baba Wale Hai ॥

Bhajanon Ko Tere Ga Kar,
Main to Masti Mein Rahta,
Raste Mein Jo Bhi Milta,
Har Har Bam Bam Hi Kahata,
Kadam Kadam Par Ban Jaate,
Bhole Rakhwale Hai,
Hum Baba Wale Hai,
Suno Ji Hum Baba Wale Hai ॥

Bhole Ne Jo Bhi Diya Hai,
Use Vyarth Na Yoon Hi Ganvao,
Bhole Ki Bhakti Karke,
Thoda Sa Karj Chukao,
‘Shyam’ Ka Saara Jeevan,
Bhole Tere Hawale Hai,
Hum Baba Wale Hai,
Suno Ji Hum Baba Wale Hai ॥

Bhole Ki Kripa Se Hamare,
Thaath Nirale Hai,
Hum Baba Wale Hai,
Suno Ji Hum Baba Wale Hai ॥
भोले की किरपा से हमरे, ठाठ निराले है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
भोले की किरपा से हमरे, ठाठ निराले है, हम बाबा वाले है, सुनो जी हम बाबा वाले है ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Chitrakoot Ke Ghat Ghat Par Shabri Dekhe Baat

Chitrakoot Ke Ghat-Ghat Par, Shabari Dekhe Baat, Ram Mere Aa Jao, Chitrakut Ke Ghat-Ghat Par...

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya, Nandlala Ghanshyam Re, Govardhan Girdhari Kanha, Tere Kitne Naam Re, Bolo Shyam Radhe Shyam...

Ek Nazar Bas Ek Nazar Hum Pe Bhi Mohan Vaar De

Ek Nazar Bas Ek Nazar, Hum Pe Mohan Vaar De, Zindagi Ki Dagmagati, Meri Naiya Taar De ॥

Kahiyo Darshan Dinhe Ho Bhilaniyo Ke Ram

Kahiyo Darshan Dinhe Ho, Bhilniyon Ke Ram ।

Phoolon Mein Saj Rahe Hai

Phoolon Mein Saj Rahe Hain, Shri Vrindavan Bihari, Aur Sath Saj Rahi Hai, Vrishbhanu Ki Dulari ॥