Bhole Shankar Tere Darshan Ko (भोले शंकर तेरे दर्शन को - भजन )


Bhole Shankar Tere Darshan Ko,
Lakhon Kavadiyan Aae Re,
Bhaang Dhatura Ragad Ragad Ke,
Ganga Nir Chadhaye Re,
Bhole Shankar Tere Darshan Ko,
Lakhon Kavadiyan Aae Re ॥
Asi Masti Chae Rahi,
Is Sawan Ke Mahine Mein,
Ke De De Yo Pal Mein Bhola,
Kami Nahi Hai Khajane Mein,
Dhaar Langoti Haath Mein Damaru,
Nandeshwar Kahalae Re,
Bhaang Dhatura Ragad Ragad Ke,
Ganga Nir Chadhaye Re,
Bhole Shankar Tere Darshan Ko,
Lakhon Kavadiyan Aae Re ॥

Ang Bhabhuti Mund Mal Gale,
Naag Shesh Lipataya Re,
Tapati Garmi Dhuna Ramata,
Age Ashan Laya Re,
Sudh Budh Nahi Rahi Bhole Ne,
It Yo Damru Bajaye Re,
Bhaang Dhatura Ragad Ragad Ke,
Ganga Nir Chadhaye Re,
Bhole Shankar Tere Darshan Ko,
Lakhon Kavadiyan Aae Re ॥

Jata Ganga Aur Rajat Chandrama,
Sohe Shish Padhare Re,
Om Naam Ke Nad Se Tune,
Dharti Ambar Tare Re,
Kidi Ne Kaan Haathi Ne Man,
Bhola Sabne Pugaye Re,
Bhaang Dhatura Ragad Ragad Ke,
Ganga Nir Chadhaye Re,
Bhole Shankar Tere Darshan Ko,
Lakhon Kavadiyan Aae Re ॥

Bhasmasur Ne Kari Tapasya,
Var Diya Muhn Manga Re,
Jesi Karni Wesi Bharni,
Ke Anusar Wo Paya Re,
Shiv Dhunen Par ‘Sajjan Sirasa’,
Wala Shish Nabaye Re,
Bhaang Dhatura Ragad Ragad Ke,
Ganga Nir Chadhaye Re,
Bhole Shankar Tere Darshan Ko,
Lakhon Kavadiyan Aae Re ॥

Bhole Shankar Tere Darshan Ko,
Lakhon Kavadiyan Aae Re,
Bhaang Dhatura Ragad Ragad Ke,
Ganga Nir Chadhaye Re,
Bhole Shankar Tere Darshan Ko,
Lakhon Kavadiyan Aae Re ॥
भोले शंकर तेरे दर्शन को - भजन - हिन्दी में पढ़ें
भोले शंकर तेरे दर्शन को, लाखों कावड़ियाँ आए रे, भांग धतुरा रगड़ रगड़ के, गंगा नीर चढ़ाए रे, भोले शँकर तेरे दर्शन को, लाखों कावड़ियाँ आए रे ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Mera Kho Gaya Dil Vrindavan Dham Mein

Mera Kho Gaya Dil , Vrindavan Dham Mein, Mera Lage Nahin Man , Kisi Kaam Mein...