Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Prano Se Bhi Pyara Dadi Dham Tumhara (प्राणो से भी प्यारा, दादी धाम तुम्हारा - भजन )


Prano Se Bhi Pyara Dadi Dham Tumhara
Prano Se Bhi Pyara,
Dadi Dham Tumhara,
Darshan Kar Ho Jata,
Ye Jivan Saphal Hamara,
Tune Sabko Tara,
Sabka Jivan Sawara,
Tere Bin Koun Dadi,
Hum Bhakto Ka sahara ॥
Atke Kabhi Jo Naiya,
Bane Tu Khaweya,
Kasta Sabhi Ke Kaate,
Meri Maiya,
Andhiyare Jivan Ka,
Maa Tum Hi Ho Ujiara,
Darshan kar Ho Jata,
Ye Jivan Saphal Hamara ॥

Aansuo Ko Mere Apane,
Aanchal Se Ponchhe,
Mamta Lutakar Maiya,
Haal Mera Puche,
Nit Uth Dadi Dhyaun,
Main Ek Naam Tumhara,
Darshan kar Ho Jata,
Ye Jivan Saphal Hamara ॥

Prano Se Bhi Pyara,
Dadi Dham Tumhara,
Darshan Kar Ho Jata,
Ye Jivan Saphal Hamara,
Tune Sabko Tara,
Sabka Jivan Sawara,
Tere Bin Koun Dadi,
Hum Bhakto Ka sahara ॥

प्राणो से भी प्यारा, दादी धाम तुम्हारा - भजन हिन्दी में पढ़ें

प्राणो से भी प्यारा, दादी धाम तुम्हारा, दर्शन कर हो जाता, ये जीवन सफल हमारा, तूने सबको तारा, सबका जीवन संवारा, तेरे बिन कौन दादी, हम भक्तों का सहारा ॥
Read Also

Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Wo Mahakal Sarkar Hai

Teen Lok Ke Swami Hai Woh Sarv Jagat Aadhar Hai, Devo Mein Woh Hai Dev Bade Woh Sabke Palan Haar Hai, Avantika Nagari Jo Baithe Karke Bhasm Shringar Hai…..Mahakal Sarkar Hai Woh Mahakal Sarkar Hai।

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Teri Jai Ho Ganesh

Teri Jai Ho Ganesh, Kis Janani Ne Tujhe Janam Diyo Hai..

Gajanand Bega Aao Saath Riddhi Siddhi Ne Lavo

Aao Gajanand Pyara, Bega Padharo Ganpati Ji, Dundala, Sundala, Gajanand Bega Aao, Sath Riddhi Siddhi Ne Lyao, Gajanand Bega Aao, Sath Riddhi Siddhi Ne Lyao ॥

Aaye Hai Ganesh Bappa Aaj More Angana

Aaye Hai Ganesh Bappa, Aaj More Angana, Aaj More Angana, Ji Aaye More Angana, Aaye Hain Ganesh Bappa, Aaj More Angana ॥

Maine Mann Ko Mandir Banaya

Maine Mann Ko Mandir Banaya, O Gauri Maiya Ke Laala, Teri Murat Ko Usne Sajaya, O Gauri Maiya Ke Laala, O Gauri Maiya Ke Laala ॥

Shri Ram Janki Baithe Hain Mere Seene Me Bhajan

Shri Ram Janki Baithe Hain Mere Seene Mein, Dekh Lo Mere Man Ke Naaginen Mein । shri ram janki lyrics in hindi and endlish

Sawan 2026 - Sawan 2026
Sawan 2026 - Sawan 2026
Bhakti Bharat APP