Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Me Bhakto (चलो शिव शंकर के मंदिर में भक्तो - भजन)


Liya Naam Jisne Bhi Shivji Ka Man Se,
Use Bhole Shankar Ne Apna Banaya ।
Khule Us Pe Sab Dwar Shiv Ki Daya Ke,
Jo Shraddha Se Bhole Ke Mandir Mein Aaya ॥
Har Har Har Mahadev Ki Jay Ho ।
Shankar Shiv Kailashpati Ki Jay Ho ॥

Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto,
Shiv Ji Ke Charnon Mein Sar Ko Jhukae ।
Karen Apne Tan Man Ko Ganga Sa Pavan..2
Japen Naam Shiv Ka Bhajan Inake Gayen ॥

Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto
Har Har Har Mahadev Ki Jay Ho ।..4

Yah Sansar Jhoothi Maya Ka Bandhan,
Shivalaymen Marg Hai Mukti Ka Bhakto ।
Mahadev Ka Naam Lene Se Har Din,
Milega Hamen Daan Shakti Ka Bhakto ।
Mitti Mein Mitti Ki Kaya Milegi..2
Chalo Atma Ko to Kundan Banaen ॥
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto ॥

Kahin Bhi Nahin Ant Us Ki Daya Ka,
Karen Vandna Us Dayalu Pita Ki ।
Hamen Bhi Mile Chhavan Uski Kripa Ki,
Hame Bhi Mile Bhikh Uski Daya Ki ।
Lagakar Samadhi Karen Shiv Ka Simran..2
Yun Soye Hue Bhagy Apne Jagayen ॥
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto ॥

Karen Sab Ka Kalyan, Kalyanakari,
Bhare Sabke Bhandar Trinetra Dhari ।
Koi Usko Jag Mein Kami Na Rahegi,
Banega Jo Tanman Se Shiv Ka Pujari ।
Kare Naam Lekar Saphal Apna Jeevan..2
Yah Anmol Jeevan Yuhin Na Gavaye ॥

Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto
Shiv Ji Ke Charanon Mein Sar Ko Jhukaye ।
Karen Apne Tan Man Ko Ganga Sa Pavan..2
Japen Naam Shiv Ka Bhajan Inke Gayen ॥

Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto
Har Har Har Mahadev Kee Jay Ho ।..4
चलो शिव शंकर के मंदिर में भक्तो - भजन - हिन्दी में पढ़ें
चलो शिव शंकर के मंदिर में भक्तो, हर हर हर महादेव की जय हो।
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Humara Mann Radha Le Gayi Re

Humara Mann Radha Le Gayi Re, Dhun - Kanhaiya Le Chal Parali Par Humara Man, Radha, Le Gayi Re ॥

Jai Ho Jai Ho Tumhari Ji Bajrangbali

Jai Ho Jai Ho Tumhari Ji Bajrang Bali, Leke Shiv Roop Aana Gajab Ho Gaya, Tretayug Mein the Tum Aaye Dwapar Mein Bhi, Tera Kalayug Mein Aana Gajab Go Gaya ॥

Bajrang Bali Sankat Kato Mahabali

Bajrang Bali Bajrang Bali, Sankat Kato Mahabali, Jaago Pawan Putra Baldai, Sitaram Ki Tumhe Duhai, Teri Kripa Se Saari Musibat Bhakto Ki Hai Tali Tali

Saccha Hai Maa Ka Darbar, Maiya Ka Jawab Nahi

Sachcha Hai Maa Ka Darbar, Maiyya Ka Jawab Nahin ॥ Maiyya Hai Meri Sherowali

Laal Laal Chunari Sitaron Wali

Laal Laal Chunari Sitaron Wali, Sitaro Wali, Jise Odhakar Aayi Hai, Maan Sherowali ॥