Daras Ko Pyase Hai Maiya Mere Nain (दरश को प्यासे है, मैया मेरे नैन - भजन)


Daras Ko Pyase Hai,
Maiya Mere Nain,
Ek Jhalak Dikhlao Bhawani,
To Aaye Bhakt Ko Chain,
Daras Ko Pyase Hain,
Maiya Mere Nain ॥
Lagan Lagakar Kab Se Baithe,
Dar Par Tere Sawali,
Paap Taap Santaap Haro Maan,
Ambai Durge Kali,
Aur Judai Na Hoti Ab,
Hum Se Maiya Sahan,
Daras Ko Pyase Hain,
Maiya Mere Nain ॥

Dason Disha Mein Tera Noor Maan,
Nahin Jagah Koi Khaali,
Shrishti Palan Haar Tu Hi Hai,
Maiya Sherawali,
Hath Daya Ka Rakh Sar Par Maan,
Beet Jayen Na Ren,
Daras Ko Pyase Hain,
Maiya Mere Nain ॥

Shiv Shakti Hey Aadi Bhawani,
Main Tera Roop Niharoon,
Ashtabhuji Tatkal Aao Maan,
Prem Se Tumhen Pukaru,
Mera Jeevan Dhany Karo Maan,
Jo Hai Tera Hi Hai Den,
Daras Ko Pyase Hain,
Maiya Mere Nain ॥

Rishi Devta Aur Gandharv Ne,
Tera Hi Gun Gaya,
‘Surendra Sinh’ Bhi Sangat Sang Maan,
Sharan Teri Mein Aaya,
Purn Ichchha Karne Wali,
Maan Sun Mera Bhi Kahan,
Daras Ko Pyase Hain,
Maiya Mere Nain ॥

Daras Ko Pyase Hai,
Maiya Mere Nain,
Ek Jhalak Dikhlao Bhawani,
To Aaye Bhakt Ko Chain,
Daras Ko Pyase Hain,
Maiya Mere Nain ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
दरश को प्यासे है, मैया मेरे नैन - भजन - हिन्दी में पढ़ें
दरश को प्यासे है, मैया मेरे नैन, एक झलक दिखलाओ भवानी, तो आए भक्त को चैन, दरश को प्यासे हैं, मैया मेरे नैन ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Jab Jab Inke Bhakto Pe Koi Sankat Aata Hai

Jab Jab Inke Bhakton Pe, Koi Sankat Aata Hai, Mera Laal Langota Bala,
Pal Mein Dauda Aata Hai ॥

Mere Balaji Maharaj Jaikara Gunje Gali Gali

Mere Balaji Maharaj, Jayakara Gunje Gali Gali, Jayakara Gunje Gali Gali, Jayakara Gunje Gali Gali, Mere Balaji Maharaj, Jayakara Gunje Gali Gali ॥