Darshan Kar Lo Re Bhakto Mehandipur Dham Ka (दर्शन कर लो रे भक्तो, मेहंदीपुर धाम का: भजन)


Darshan Kar Lo Re Bhakto,
Mehendipur Dham Ka,
Danka Baje Hai Yahan Pe,
Baba Ke Naam Ka,
Darshan Kar Lo Re Bhakto,
Mehendipur Dham Ka ॥
Ye Sachcha Darabar Yahan Pe,
Rahate Bajarang Bala,
Anjani Maa Ke Laala,
Pretaraj Bhairo Sang Ji Ke,
Bhuto Ka Ye Diwana,
Jadu Kare Niraala,
Charcha Hai Bhari Hai Jag Mein,
Inke To Kaam Ka,
Danka Baje Hai Yahan Pe,
Baba Ke Naam Ka,
Darshan Kar Lo Re Bhakto,
Mehendipur Dham Ka ॥

Is Mandir Main Aakrar Dekho,
Murat Ram Siya Ki,
Murat Ram Siya Ki,
Bade Hi Manbhan Hai Bhakto,
Yaha Pe Inki Jhanki,
Sabke Maan Ko Bhati,
Pyara Najara Yaha To,
Aathon Hi Yaam Hai,
Danka Baje Hai Yahan Pe,
Baba Ke Naam Ka,
Darshan Kar Lo Re Bhakto,
Mehendipur Dham Ka ॥

Ye Hai Panchmukhi Hanuman,
Shakti Inki Bhari,
Ye Shiv Ke Avatari,
Karke Inko Naman Yaha Pe,
Lotte Hai Nar Nari,
Inki Mahima Nyari,
Sara Hi Khel Ye To,
Prabhu Shree Ram Ka,
Danka Baje Hai Yahan Pe,
Baba Ke Naam Ka,
Darshan Kar Lo Re Bhakto,
Mehendipur Dham Ka ॥

Darshan Kar Lo Re Bhakto,
Mehendipur Dham Ka,
Danka Baje Hai Yahan Pe,
Baba Ke Naam Ka,
Darshan Kar Lo Re Bhakto,
Mehendipur Dham Ka ॥
दर्शन कर लो रे भक्तो, मेहंदीपुर धाम का: भजन - हिन्दी में पढ़ें
दर्शन कर लो रे भक्तो, मेहंदीपुर धाम का, डंका बाजे है यहाँ पे, बाबा के नाम का, दर्शन कर लो रे भक्तों, मेहंदीपुर धाम का ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Ek Din Bole Prabhu Ramchandra

Ek Din Bole Prabhu Ramchandra, Main Mann Ki Baat Batata Hoon, Tum Lete Raho Hanuman Yahan, Main Tere Charan Dabaata Hoon ॥

Murakh Bande Kya Hai Re Jag Me Tera

O Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera, Ye to Sab Jhootha Sapna Hai, Ye to Sab Jhootha Sapna Hai, Kya Tera Kya Mera,
Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

Kevat Ram Ka Bhakt Hai

Kevat Ram Ka Bhakt Hai, Donon Charanon Ko Dhona Padega, Jal Sarayu Ka Gahara Bhi Hai,
Paar Usako Lagaana Padega, Kevat Ram Ka Bhakt Hai, Donon Charanon Ko Dhona Padega ॥