Darshan Ko Tere Aaya (दर्शन को तेरे आया: भजन)


Darshan Ko Tere Aaya,
Sab Dev Teri Maya,
Pooja Karenge Teri,
Sewa Karenge Teri ॥
Tum Hi Mere Ho Lambodar,
Aas Na Koi Duja,
Apni Kirapa Rakhna Swami,
Maan Se Ki Hai Pooja,
Mandir Mein Tere Ake Deva,
Laduvan Bhog Lagake,
Darshan Ko Tere Aaya,
Sab Dev Teri Maya,
Pooja Karenge Teri,
Sewa Karenge Teri ॥

Na Koi Bandhan Jagat ka Koi,
Pahara Na Lag Paye,
Sab Badhaen Dur Hai Hoti,
Sharan Jo Tere Aaye,
Gajmukh Dev Chhavi Ye Teri,
Maan Mein Isse Bitha Ke,
Darshan Ko Tere Aaya,
Sab Dev Teri Maya,
Pooja Karenge Teri,
Sewa Karenge Teri ॥

Tera Hi Mukh dekh ganesha,
Raat Ko Main So Jaun,
Bhor Bhaye Jab Aankh Khule To,
Tere Darshan Paun,
Shiv Ke Putra Dulare Tum Ho,
Bhakto Ke Bhi Pyare,
Darshan Ko Tere Aaya,
Sab Dev Teri Maya,
Pooja Karenge Teri,
Sewa Karenge Teri ॥

Darshan Ko Tere Aaya,
Sab Dev Teri Maya,
Pooja Karenge Teri,
Sewa Karenge Teri ॥
दर्शन को तेरे आया: भजन - हिन्दी में पढ़ें
दर्शन को तेरे आया, सब देव तेरी माया, पूजा करेंगे तेरी, सेवा करेंगे तेरी ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Teri Surat Pe Jaun Balihari Rasiya

Teri Surat Pe Jaun Balihar Rasiya, Main to Nachungi Tere Darbar Rasiya ॥

Bhajan: Nache Nandlal Nachave Hari Ki Maiya

Nache Nandlal, Nachave Hari Ki Maiya

Bhajan: Ye Too Prem Ki Baat Hai Udho

Ye to Prem Ki Baat Hai Udho, Bandagi Tere Bas Ki Nahin Hai । Yahaan Sar Deke Hote Saude

Bhaye Pragat Kripala Din Dayala

Bhaye Pragat Kripala, Deendayala, Kausalya Hitakari । Harashit Mahatari, Muni Mana Hari, Adbhut Roop Bichari