Dharti Gagan Mein Hoti Hai (धरती गगन में होती है: भजन)


Dharti Gagan Mein Hoti Hai,
Teri Jai Jaikar ॥
Shlok – Sarva Mangal Mangalye,
Shive Sarvartha Sadhike,
Sharanye Triyamabhike Gauri,
Narayani Namostute.
Jai Jai Sherawali Maan,
Jai Jai Meharawali Maan,
Jai Jai Latawali Maan,
Jai Jai Jotawali Maan,
Jai Jai Latawali Maan ॥

Jaikara Sherawali Da,
Bol Saache Darbaar Ki Jai.
Dharti Gagan Mein Hoti Hai,
Teri Jai Jaikar Ho Maiya,
Unche Bhawan Mein Hoti Hai,
Teri Jai Jaikar,
Duniya Tera Naam Jape,
Ho Duniya Tera Naam Jape,
Tujhko Pooje Sansar,
Dharti Gagan Mein Hoti Hai,
Teri Jai Jaikar Ho Maiya,
Unche Bhawan Mein Hoti Hai,
Teri Jai Jaikar ॥

Saraswati Maha Lakshmi Kaali,
Teeno Ki Tu Pyaari,
Gupha Ke Andar Tera Mandir,
Teri Mahima Nyari,
Shiv Ki Jata Se Nikli Ganga,
Aai Sharan Tihari,
Aadi Shakti Aad Bhawani,
Teri Sher Sawari,
Hey Ambe Hey Maan Jagdambe,
Karna Tu Itna Upkaar,
Aaye Hai Tere Charanon Mein,
Dena Humko Pyaar.
Dharti Gagan Me Hoti Hai,
Teri Jai Jaikar Ho Maiya,
Unche Bhawan Mein Hoti Hai,
Teri Jai Jaikar ॥

Brahma Vishnu Mahesh Bhi Tere,
Aage Sheesh Jhukaye,
Sooraj Chaand Sitaare Tujhse,
Ujiyaara Le Jaye,
Dev Lok Ke Dev Bhi Maiya,
Tere Hi Gun Gaye,
Manav Kare Jo Teri Bhakti,
Bhav Sagar Tar Jaye,
Hey Ambe Hey Maan Jagdambe,
Karna Tu Itna Upkaar,
Aaye Hai Tere Charanon Mein,
Dena Humko Pyaar.
Dharti Gagan Me Hoti Hai,
Teri Jai Jaikar Ho Maiya,
Unche Bhawan Mein Hoti Hai,
Teri Jai Jaikar ॥

Dharti Gagan Mein Hoti Hai,
Teri Jai Jaikar Ho Maiya,
Unche Bhawan Mein Hoti Hai,
Teri Jai Jaikar,
Duniya Tera Naam Jape,
Ho Duniya Tera Naam Jape,
Tujhko Pooje Sansar,
Dharti Gagan Me Hoti Hai,
Teri Jai Jaikar Ho Maiya,
Unche Bhawan Mein Hoti Hai,
Teri Jai Jaikar ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
धरती गगन में होती है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
धरती गगन में होती है, तेरी जय जयकार ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanVaishno Devi Bhajan BhajanGulshan Kumar Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Wo Nyare Hai

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Vo Nyare Hain, Gaura Ke Dulare Hain Mahadev Ke Pyare Hain॥