Ek Baar To Radha Bankar Dekho Mere Sawariya (एक बार तो राधा बनकर देखो, मेरे सांवरियां: भजन)


Ek Baar To Radha Bankar Dekho Mere Sawariya,
Jo Mai Aisa Janati, Preet Kare Dukh Hoy,
Nagar Dhindhora Pitati, Preet Na Kariye Koi ॥
Ek Baar To Radha Bankar Dekho,
Mere Sawariya,
Radha Yun Ro Ro Kahe,
Radha Yun Ro Ro Kahe ॥

Kya Hote Hai Aanshu,
Kya Pida Hoti Hai,
Kyun Dard Uthta Hai,
Kyun Aankhen Roti Hai,
Ek Baar Aanshu To Bahakar,
Dekho Sawariya,
Radha Yun Ro Ro Kahe,
Ek Baar To Radha Bankar Dekho,
Mere Sawariya,
Radha Yun Ro Ro Kahe,
Radha Yun Ro Ro Kahe ॥

Jab Koi Sunega Na,
Tere Maan Ke Dukhde,
Jab Tane Sun Sun Kar,
Honge Dil Ke Tukde,
Ek Baar Jara Tum Tane Sun Kar,
Dekho Sawariya,
Radha Yun Ro Ro Kahe,
Ek Baar To Radha Bankar Dekho,
Mere Sawariya,
Radha Yun Ro Ro Kahe,
Radha Yun Ro Ro Kahe ॥

Kya Janaenge Mohan,
Tum Prem Ki Bhasa,
Kya Hoti Hai Aasha,
Kya Hoti Hai Nirasha,
Ek Baar Jara Tum Prem karke,
Dekho Sawariya,
Radha Yun Ro Ro Kahe,
Ek Baar To Radha Bankar Dekho,
Mere Sawariya,
Radha Yun Ro Ro Kahe,
Radha Yun Ro Ro Kahe ॥

Panghat Pe Madhuban Mein,
Wo Intijar Karna,
Kahi Shyam Tere Khatir,
Wo Ghut Ghut Ke Marna,
Ek Baar Kisika Intijar Kar,
Dekho Sawariya,
Radha Yun Ro Ro Kahe,
Ek Baar To Radha Bankar Dekho,
Mere Sawariya,
Radha Yun Ro Ro Kahe,
Radha Yun Ro Ro Kahe ॥

Ek Baar To Radha Bankar Dekho,
Mere Sawariya,
Radha Yun Ro Ro Kahe,
Radha Yun Ro Ro Kahe ॥
एक बार तो राधा बनकर देखो, मेरे सांवरियां: भजन - हिन्दी में पढ़ें
एक बार तो राधा बनकर देखो, मेरे सांवरियां, राधा यूँ रो रो कहे, राधा यूँ रो रो कहे ॥
Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Bhajan: Kashi Wale Devghar Wale Jai Shambu

Kashi Vale Devghar Vale, Bhole Damroo Dhari । Khel Tere Hain Nirale, Shiv Shankar Tripurari ।

Shiv Hi Base Hai Kan Kan Mein

Shiv Hi Base Hai Kan Kan Mein, Kedaar Ho Ya Kashi, Dwadash Jyotirling Hai, Har Disha Mein Hai Kailashi, Shiv Hi Base Hai Kan Kan Mein, Kedaar Ho Ya Kashi ॥

Vasa Hai Bhagto Ke Dil Me Naam Bhole Nath Ka

Shiv Apnon Se Naam Suna Hai Tere Dhaam Ka, Vasa Hai Bhagto Ke Dil Mein Naam Bhole Naath Ka ॥

Shambhu Shambhu Shambhu Bol Mana Jag Ka Kya Pata

Shambhu Shambhu Shambhu Bol Mana, Jag Ka Kya Pata, Shivay Shiv Shiv Bol Mana, Tan Kya Pata, Bhole Bhole Bhole Bol Mana, Dhan Ka Kya Pata, Shambhu Shambhu Shambhu Bol Mana,
Jag Ka Kya Pata ॥