Ek Bar Jo Raghubar Ki Nazron Ka (एक बार जो रघुबर की, नजरो का: भजन)


Ek Baar Jo Raghubar Ki,
Najro Ka Ishara Ho Jaye,
Teri Lagan Mein Kho Jaoon Main,
Duniya Se Kinara Ho Jaye ॥
Shri Ram Tumhare Charnon Mein,
Ashish Sabhi Ko Milti Hai,
Yah Dhool Tumhari Mil Jaye,
Jeevan Ka Sahaara Ho Jaye ॥

Ek Baar Jo Raghuvar Ki,
Najro Ka Ishara Ho Jaye,
Teri Lagan Mein Kho Jaoon Main,
Duniya Se Kinara Ho Jaye ॥

Sarkar Tumhari Mehfil Mein,
Takdir Banai Jati Hai,
Meri Bhi Bigdi Ban Jaye,
Ehsaan Tumhara Ho Jaye ॥

Ek Baar Jo Raghuvar Ki,
Najro Ka Ishara Ho Jaye,
Teri Lagan Mein Kho Jaoon Main,
Duniya Se Kinara Ho Jaye ॥

Ye Shri Ram Ka Mandir Hai,
Bhagirathi Ganga Bahati Hai,
Sab Log Yahan Pe Tarte Hai,
Bhav Paar Sabhi Ka Ho Jaye ॥

Ek Baar Jo Raghubar Ki,
Najro Ka Ishara Ho Jaye,
Teri Lagan Mein Kho Jaoon Main,
Duniya Se Kinara Ho Jaye ॥
एक बार जो रघुबर की, नजरो का: भजन - हिन्दी में पढ़ें
एक बार जो रघुबर की, नजरो का इशारा हो जाये, तेरी लगन में खो जाऊँ मैं, दुनिया से किनारा हो जाये ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Mandir Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Phoolon Se Angana Sajaungi

Phoolon Se Angna Sajaungi, Jab Maiya Mere Ghar Aaengi । Chandan Chauki Bichhau

Bhawani Maiya Sharda Bhajo Re

Bhawani Maiya Sharda Bhajo Re, Sharda Bhajo Re, Bhar Jehe Sakal Bhandar Re, Bhawani Maiya Ho ॥

Suno Karuna Bhari Ye Pukar

Suno Karuna Bhari Ye Pukar, Dwar Tere Hum Aaye, Tore Angna Lagi Hai Kataar, Dwar Tere Hain Aaye ॥

Mere Ghar Maiya Aai Hai

Mere Ghar Maiya Aai Hai , Soi Takadir Jagai Hai Soi Takadir Jagai Hai, Mere Ghar Maiya Aai Hai , Maiya Ne Bigdi Banai Hai॥