Ek Tamanna Ma Hai Meri (एक तमन्ना माँ है मेरी - भजन)


Ek Tamanna Maan Hai Meri,
Dil Mein Basa Loon Surat Teri,
Har Pal Usi Ko Nihara Karoon,
Har Pal Usi Ko Nihara Karoon,
Maiya Maiya Mukh Se Uchara Karoon ॥
Roj Savere Uth Kar Maiya,
Tujhko Sheesh Navaun Main,
Prem Bhav Se Bhanti Bhanti Ka,
Nit Shringaar Sajaun Main,
Hatho Se Aarti Utaara Karoon,
Maiya Maiya Mukh Se Uchara Karoon ॥

Is Tan Se Jo Kaam Karoon Main,
Sab Kuchh Tujhko Arpit Ho,
Khaoon Jo Prashad Ho Tera,
Pioon Vo Charanamrit Ho,
Aankhon Se Darshan Tumhara Karoon,
Maiya Maiya Mukh Se Uchara Karoon ॥

‘Binnu’ Ki Vinti Maan Tumse,
Itni Kirpa Kar Dena,
Charanon Ki Seva Mil Jaye,
Isse Badhkar Kya Lena,
Asuvan Se Inko Pakhaara Karoon,
Maiya Maiya Mukh Se Uchara Karoon ॥

Ek Tamanna Maan Hai Meri,
Dil Mein Basa Loon Surat Teri,
Har Pal Usi Ko Nihara Karoon,
Har Pal Usi Ko Nihara Karoon,
Maiya Maiya Mukh Se Uchara Karoon ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
एक तमन्ना माँ है मेरी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
एक तमन्ना माँ है मेरी, दिल में बसा लूँ सूरत तेरी, हर पल उसी को निहारा करूँ, हर पल उसी को निहारा करूँ, मैया मैया मुख से उचारा करूँ ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shyam Pyare Ki Hai Sarkar Hame Dar Kahe Ho

Shyam Pyare Ki Hai Sarakar, Hamen Dar Kahe Ko, Kahe Ko Dar Kahe Ko, Neele Vale Ki Hai Sarakar,
Hamen Dar Kahe Ko ॥

Shyam Eso Jiya Me Samay Gayo Ri

Shyam Aiso Jiya Mein, Samae Gayo Ri, Mere Tan Man Ki, Sudhbudh Bhulaay Gayo Ri ॥

Ladli Adbhut Nazara, Tere Barsane Me Hai

kishori le chal parli paar, radhike le chal parli paar, shyama chal parli paar...

Jeevan Hai Tere Hawale Muraliya Wale

Jeevan Hai Tere Havale, Muraliya Vale, Tere Hath Ki, Hum Kath Putli Tere Hath Ki, Chahe Jaise Nachale

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...