Gauri Ke Lal Suno (गौरी के लाल सुनो: भजन)


Gauri Ke Lal Suno,
Ki Kabse Tujhe Yaad Kare,
Keertan Mein Aa Jao,
Hay Keertan Mein Aa Jao,
Ye Tumse Phariyad Kare,
Gauri Ke Lal Suno,
Ki Kabse Tujhe Yaad Kare ॥Tujhko Manaun Deva,
Kabse Bulaun,
Apni Palke Bichhaoon,
Ab to Aaja,
Girija Ke Pyare,
Baba Shiv Ke Dulare,
Aaja Tujhko
Pukare Ganraja,
Tum Bin Kaun Bata,
Jo Aake Pure Kaaj Kare,
Gauri Ke Lal Sunon,
Ki Kabse Tujhe Yaad Kare ॥

Kirpa Dikha De,
Saare Vighn Hata De,
Humko Darshan Dikha De,
Mere Data,
Aangan Buharoon,
Tera Rasta Niharoon,
Tose Arji Gujaaru,
O Vidhata,
Dooja Na Tere Siva,
Jo Sar Pe Mere Hath Dhare,
Gauri Ke Lal Sunon,
Ki Kabse Tujhe Yaad Kare ॥

Ghar Ko Saja Ke,
Deva Aangan Mahaka Ke,
Teri Jyot Jaga Ke,
Hum Bulayen,
Nariyal Chadha Ke,
Tere Bhog Laga Ke,
Teri Mahima Ko,
Gaake Ham Sunaye,
‘Harsh’ Na Deri Karo,
Vinti Ye Tera Daas Kare,
Gauri Ke Lal Sunon,
Ki Kabse Tujhe Yaad Kare ॥

Gauri Ke Lal Suno,
Ki Kabse Tujhe Yaad Kare,
Keertan Mein Aa Jao,
Hay Keertan Mein Aa Jao,
Ye Tumse Phariyad Kare,
Gauri Ke Lal Suno,
Ki Kabse Tujhe Yaad Kare ॥
गौरी के लाल सुनो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
गौरी के लाल सुनो, की कबसे तुझे याद करे, कीर्तन में आ जाओ, हाय कीर्तन में आ जाओ, ये तुमसे फरियाद करे, गौरी के लाल सुनो, की कबसे तुझे याद करे ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Janme Avadh Me Ram Mangal Gao Ri

jis bhajan mein ram ka naam na ho, us bhajan ko gana na chahie...

Sare Jahan Ke Malik Tera Hi Aasara Hai

Sare Jahan Ke Malik, Tera Hi Aasra Hai, Raji Hain Hum Usi Mein, Jis Mein Teri Raja Hai...

Karlo Karlo Charo Dham

Karlo Karlo Charo Dham, Milenge Krishn, Milenge Ram Jeevan Safal Usi Ka Samjho, Jisne Kiya Ye Dham

Tum Karuna Ke Sagar Ho Prabhu

Tum Karuna Ke Sagar Ho Prabhu, Meri Gagar Bhar Do Thake Panv Hai

Tumhi Me Ye Jivan Jiye Ja Raaha Hoon

Tumhin Mein Ye Jeevan Jiye Ja Raha Hoon, Jo Kuchh De Rahen Ho Lie Ja Raha Hoon ॥ Tumhin Se Chala Karati Pranon Ki Dhadakan...