Hamne Aangan Nahi Buhara, Kaise Ayenge Bhagwan (हमने आँगन नहीं बुहारा - भजन)


Hamane Aangan Nahin Buhara,
Kaise Aayenge Bhagawan ।
Man Ka Mail Nahin Dhoya To,
Kaise Aayenge Bhagawan ॥
Har Kone Kalmash-Kashay Ki,
Lagi Hui Hai Dheri ।
Nahin Gyan Ki Kiran Kaheen Hai,
Har Kothari Andheri ।
Aangan Chaubaiara Andhiyara,
Kaise Aayenge Bhagawan ॥

Hriday Hamara Pighal Na Paya,
Jab Dekha Dukhiyara ।
Kisi Panth Bhoole Ne Hamase,
Paaya Nahin Sahara ।
Sookhi Hai Karuna Ki Dhara,
Kaise Aayenge Bhagawan ॥

Antar Ke Pat Khol Dekh Lo,
Eeshwar Paas Milega ।
Har Prani Mein Hi Parameshwar,
Ka Aabhas Milega ।
Sachche Mann Se Nahin Pukara,
Kaise Aayenge Bhagawan ॥

Nirmal Mann Ho To Raghunayak,
Shabari Ke Ghar Jate ।
Shyam Soor Ki Banhe Pakadate,
Shaag Vidur Ghar Khate ।
Is Par Hamane Nahin Vichara,
Kaise Aayenge Bhagawan ॥

Hamane Aangan Nahin Buhara,
Kaise Aayenge Bhagawan ।
Man Ka Mail Nahin Dhoya To,
Kaise Aayenge Bhagawan ॥
हमने आँगन नहीं बुहारा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हमने आँगन नहीं बुहारा, कैसे आयेंगे भगवान् । मन का मैल नहीं धोया तो, कैसे आयेंगे भगवान्...
Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Ram BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navami BhajanVijay Dashami BhajanSunderkand BhajanRamcharitmanas Katha BhajanAkhand Ramayana BhajanMaithili Thakur Bhajan

Other Popular Hamne Aangan Nahi Buhara, Kaise Ayenge Bhagwan Video

BY SINGER ISHITA VISHWAKARMA

Pandit Gaurangi Gauri Ji

Pujya Rajan Ji Maharaj

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani

Bada Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani. Bhakton Ki Lagi Hai Katar Bhawani.

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr