Har Gyaras Khatu Me Amrit Jo Barasta Hai (हर ग्यारस खाटू में अमृत जो बरसता है - भजन)


Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai,
Us Amrit Ko Peene,
Har Bhakt Pahunchta Hai,
Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai ॥
Yahan Bhajnon Ki Ganga,
Amrit Si Bahati Hai,
Sabke Dil Ki Baatein,
Baba Se Kahati Hai,
In Boondon Ko Peekar,
Har Bhakt Thirakta Hai,
Us Amrit Ko Peene,
Har Bhakt Pahunchta Hai,
Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai ॥

Bhajanon Ki Ye Bunde,
Jab Kaan Mein Pad Jaye,
Har Premi Baba Ka,
Mere Shyam Se Jud Jaye,
Phir Hosh Rahe Na Use,
Hansta Hai Sisakta Hai,
Us Amrit Ko Peene,
Har Bhakt Pahunchta Hai,
Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai ॥

Ye Bhajanon Ki Ganga,
Hamen Shyam Se Milvaye,
Yahaan Dubki Lagane Ko,
Mera Shyam Chala Aaye,
Amrit Ye Bhajanon Ka,
Jab Jab Bhi Chhalkta Hai,
Us Amrit Ko Peene,
Har Bhakt Pahunchta Hai,
Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai ॥

Is Amrt Mein Pyaare,
Tum Jahar Nahin Gholo,
Kahata ‘romi’ Tolo,
Tum Tol Ke Phir Bolo,
Isse Pavan Rahane Do,
Vishwas Bhatkta Hai,
Us Amrit Ko Peene,
Har Bhakt Pahunchta Hai,
Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai ॥

Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai,
Us Amrit Ko Peene,
Har Bhakt Pahunchta Hai,
Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
हर ग्यारस खाटू में अमृत जो बरसता है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हर ग्यारस खाटू में, अमृत जो बरसता है, उस अमृत को पीने, हर भक्त पहुँचता है, हर ग्यारस खाटु में, अमृत जो बरसता है ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tujhko Jeevan Mila Hai Anmol

Shubh Karmo Ka Khata Khol, O Bande, Radhe Radhe Bol, Tujhko Jeevan Mila Han, Anmol, O Bande, Radhe Radhe Bol।

Rakho Hath Dhal Talwar Majbuti Jagdamba

Rakho Hath Dhal Talwar Muth Majbuti, Muth Majbuti E Dharde Re Jagdamba, Raajputon Mein Majbuti...

Thari Chakari Karungo Din Raat Banalyo Mhane Chakariyo

Thari Chakari Karungo Din Raat, Banalyo Mhaane Chaakriyo, Thaari Seva Karungo Din Raat, Banalyo Mhaane Chaakriyo, Chaakriyo E Dadi Sevkiyo, Thaaran Gun Gaoon Din Raat, Banalyo Mhaane Chaakriyo ॥

Jis Bhajan Mein Ram Ka Nam Na Ho

Jis Bhajan Mein Ram Ka Naam Na Ho, Us Bhajan Ko Gana Na Chahiye |..

Ram Hi Paar Lagavenge

Aji Main to Ram Hi Ram Bhajoon Ri Mere Ram, Ram Hi Paar Lagavenge..