Hey Dayamay Aap Hi Sansar Ke Adhar Ho (हे दयामय आप ही संसार के आधार हो - भजन)


Hey Dayamay Aap Hi Sansar Ke Aadhar Ho ।
Aap Hi Kartar Ho Ham Sabke Palanhar Ho ॥
Janm Data Aap Hi Mata Pita Bhagwan Ho ।
Sarv Sukh Data Sakha Bhrata Ho Tan Dhan Pran Ho ॥

Aapke Upkar Ka Ham Rn Chuka Sakte Nahin ।
Bin Krpa Ke Shanti Sukhka Sar Pa Sakte Nahin ॥

Deejiye Vah Mati Bane Ham Sadguni Sansar Mein ।
Man Ho Manjul Dharm May Aur Tan Lage Upkar Mein ॥

Hey Dayamay Aapka Hamko Sada Aadhar Ho ।
Aapke Bhakton Se Hi Bharpoor Yah Parivar Ho ॥

Chhod Deven Kam Ko Aur Krodh Ko Mad Lobh Ko ।
Shuddh Aur Nirmal Hamara Sarvada Aachar Ho ॥

Prem Se Mil Mil Ke Sare Geet Gaayen Aapke ।
Man Mein Bahta Aapka Hi Prem Paravar Ho ॥

Jay Pita Jay Jay Pita, Ham Jay Tumhari Ga Rahe ॥
Raat Din Ghar Mein Hamare Aapki Jaykar Ho ॥

Dhan Dhany Ghar Mein Jo Sabhi Kuchh, Aap Ka Hi Hai Diya ।
Uske Liye Prabhu Aapko Dhanyavad Sau Sau Bar Ho ॥
हे दयामय आप ही संसार के आधार हो - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हे दयामय आप ही संसार के आधार हो। आप ही करतार हो हम सबके पालनहार हो॥
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Mann Me to Aave Bhajan Banau

Mann Mein to Aave Bhajan Banaun, Bhajan Bana Ke Baalasa, Bhajan Bana Ke Baalasa Tujhko Rijhaun..

Bajrangbali Ki Shan Badi

Bajrangbali Ki Shan Badi, Ati Sundar Hai Hanumangadhi । Shri Ram Gareeb Navaj Hai, Hanumat Kalyug Ke Raja Hai

Bajrangbali Vo

Bajrangi Bali Vo,Bali Ma Bali Chir Chhati Dekhaye Na ll

Bajrangi Maharaj Tumhe Bhakt Bulate Hai

Bajrangi Maharaj, Tumhai Bhakt Bulate Hai, Tumhai Shish Jhukate Hai ॥