Hey Mahashakti Hey Maa Ambey Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai (हे महाशक्ति हे माँ अम्बे, तेरा मंदिर बड़ा ही प्यारा है: भजन)


Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥
Saari Duniya Ek Bagiya Hai,
Hum Sab Bagiya Ke Phul Yahan,
Is Bagiya Ki Maan Hai Maali,
Har Phul Hi Maan Ko Pyara Hai,
Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥

Koi Kasht Nahin Usko Aata,
Jo Maan Ka Sumiran Karta Hai,
Saya Bankar Us Prani Ko,
Maan Deti Sada Sahara Hai,
Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥

Apne Bhakto Se Daati Kabhi,
Palbhar Bhi Door Nahin Hoti,
Daudi Daudi Aati Hai Maan,
Jisne Bhi Man Se Pukara Hai,
Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥

Apne Jeevan Ki Dori Ko,
Ab Saump Do ‘Sharma’ Daati Ko,
Na Jaane Kitno Ko Maan Ne,
Bhavsagar Paar Utara Hai,
Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥

Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
हे महाशक्ति हे माँ अम्बे, तेरा मंदिर बड़ा ही प्यारा है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
हे महाशक्ति हे माँ अम्बे, तेरा मंदिर बड़ा ही प्यारा है ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Aayo Faganiyo Albelo

Aayo Phaganiyo Alabelo, Baba Shyam Dhani Ko Melo, Chalyo Bhagata Ko Yo Relo, Khatu Shyam Ji, O Khatu Dham Ji ॥

Man Mein Hai Vishwas Agar Jo Shyam Sahara Milta Hai

Man Mein Hai Vishwas Agar Jo, Shyam Sahara Milta Hai, Rota Hai Koi Shyam Ka Premi...

Sara Barsana Tera Deewana Hua

Teri Murli Ki Dhun, Humne Jabse Suni, Sara Barsana Tera Deewana Hua, Mili Tumse Najar, Meri Jab Saanware, Ye Dil Bhi Humara Begana Hua ॥