Jabse Maa Tera Dwar Mila (जबसे माँ तेरा द्वार मिला: भजन)


Dar Dar Ka Bhatakna Chhoot Gaya,
Jabse Maan Tera Dwar Mila,
Dwar Mila, Dwar Mila,
Aankhon Se Bahate Aansoo Ruke,
Bete Ko Maan Ka Pyaar Mila,
Pyaar Mila, Pyaar Mila ॥
Mann Ka Har Vikaar Gaya,
Mil Jo Dwar Gaya,
Vipda Door Bhagi,
Soi Taqadeer Jagi,
Majdhaar Mein Atka Beda Jo,
Pal Mein Laga Vo Paar Mila,
Paar Mila, Paar Mila,
Aankhon Se Bahate Aansoo Ruke,
Bete Ko Maan Ka Pyaar Mila,
Pyaar Mila, Pyaar Mila ॥

Mahima Apaar Hai Maan,
Pooje Sansar Hai Maan,
Mamta Mahaan Teri,
Oonchi Hai Shaan Teri,
Bhakti Se Shakti Milti Hai,
Jeevan Ka Yahi Saar Mila,
Saar Mila, Saar Mila,
Dar Dar Ka Bhatakna Chhoot Gaya,
Jabse Maan Tera Dwar Mila,
Dwar Mila, Dwar Mila,
Aankhon Se Bahate Aansoo Ruke,
Bete Ko Maan Ka Pyaar Mila,
Pyaar Mila, Pyaar Mila ॥

Maangta Var Mein Yahi,
Chhoote Na Dar Maan Kabhi,
Tera Gungaan Rahe,
Charanon Mein Dhyan Rahe,
Lakhkha Ki Uljhan Saral Hui,
Mann Se Jo Maan Ka Taar Mila,
Taar Mila, Taar Mila,
Aankhon Se Bahate Aansoo Ruke,
Bete Ko Maan Ka Pyaar Mila,
Pyaar Mila, Pyaar Mila ॥

Dar Dar Ka Bhatakna Chhoot Gaya,
Jabse Maan Tera Dwar Mila,
Dwar Mila, Dwar Mila,
Aankhon Se Bahate Aansoo Ruke,
Bete Ko Maan Ka Pyaar Mila,
Pyaar Mila, Pyaar Mila ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
जबसे माँ तेरा द्वार मिला: भजन - हिन्दी में पढ़ें
दर दर का भटकना छूट गया, जबसे माँ तेरा द्वार मिला, द्वार मिला, द्वार मिला, आँखों से बहते आंसू रुके, बेटे को माँ का प्यार मिला, प्यार मिला, प्यार मिला ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Dadi Mein Thari Beti Hu

Dadi Main Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Maiya Main Thari Laado Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Deejo Amar Suhag, Dadi Mai Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj ॥

Mhane Sherawali Maiya Rajrani Laage

Mhane Praana Su Bhi Pyari, Mata Raani Laage, Mata Raani Laage, Mhane Sherowali Maiya, Raaj Raani Laage ॥

Maa Sharda Bhawani Bethi Hai Dekho Kaise

Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise, Maiya Saji Hai Aise, Dulhan Bani Ho Jaise, Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar

Maiya Ke Charno Me, Jhukta Hai Sansar, Teeno Lok Main Hoti, Maa Teri Jay Jaykar ॥