Jagat Me Koi Na Permanent (जगत में कोई ना परमानेंट - भजन)


Jagat Mein Koi Na Permanent,
Jagat Mein Koi Na Permanent,
Tel Chameli Chandan Sabun,
Tel Chameli Chandan Sabun,
Chahe Lagalo Sent,
Jagat Mein Koin Na Permanent,
Jagat Mein Koin Na Permanent ॥
Aavagaman Laga Duniya Mein,
Jagat Hai Restaurant,
Re Pyaare Jagat Hai Restaurant,
Ant Samay Mein Ud Jayenge,
Ant Samay Mein Ud Jayenge,
Tere Tamboo Tent,
Jagat Mein Koin Na Permanent,
Jagat Mein Koin Na Permanent ॥

Rashtrapati Ho Karnal General,
Ya Ho Leftinent,
Re Pyare Ya Ho Leftinent,
Kaal Sabhi Ko Kha Jayega,
Kaal Sabhi Ko Kha Jayega,
Ladies Ho Ya Gents,
Jagat Mein Koin Na Permanent,
Jagat Mein Koin Na Permanent ॥

Haridwar Chahe, Kashi Mathura*,
Ghoomo Delhi Cant,
Re Pyaare Ghoomo Delhi Cant,
Man Mein Naam Prabhu Ka Rakho,
Man Mein Naam Prabhu Ka Rakho,
Dhoti Pahano Ya Pant,
Jagat Mein Koin Na Permanent,
Jagat Mein Koin Na Permanent ॥

Saadhu Sant Ki Sangat Karalo ,
Ye Sachchi Government,
Re Pyare Ye Sachchi Government,
Laal Sinh Kahe Is Daphtar Se,
Laal Sinh Kahe Is Daphtar Se’,
Mat Hona Absent,
Jagat Mein Koin Na Permanent,
Jagat Mein Koin Na Permanent ॥

Jagat Mein Koi Na Permanent,
Jagat Mein Koi Na Permanent,
Tel Chameli Chandan Sabun,
Tel Chameli Chandan Sabun,
Chahe Lagalo Sent,
Jagat Mein Koin Na Permanent,
Jagat Mein Koin Na Permanent ॥

* Kaheen Kaheen (Haridwar Chahe, Kashi Mathura) Ki Jagah (Calcutta Mumbi Chennai Ya) Prayog Kiya Gaya Hai.
जगत में कोई ना परमानेंट - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जगत में कोई ना परमानेंट, तेल चमेली चन्दन साबुन
Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanGuru Purnima BhajanVyasa Purnima BhajanSant Ravidas BhajanRavidas Jayanti BhajanGuru Gyan BhajanInspirational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPujya Rajan Bhajan

Other Popular Jagat Me Koi Na Permanent Video

Jagat Me Koi n Permanent By Lakhbir Singh Lakkha

By Rajasthani Singer Prakash Gandhi

Jagat Me Koi n Permanent By Vidhi Deshwal

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Chit Charno Mein Baba Ke Laga Le

Chit Charno Mein Baba Ke Laga Le Nasiba Tere Jag Jayege, Saye Apne Nasiba Jaga Le Nasiba Tere Jag Jayege ॥

Bhajan: Bhari Unki Ankho Mein Hai Kitni Karuna

Bhari Unki Ankho Mein Hai, Kitani Karuna, Jakar Sudama Bhikari Se Poochho...

Jai Bolo Jai Bolo Jai Hanuman Ki

Jai Bolo Jai Bolo Jai Hanuman Ki, Sankat Mochan Karuna Dayanidhan Ki, Hanuman Ki Jai Vidyavan Ki Jai...