Jai Ganesh Jai Gajvadan Kripa Sindhu Bhagwan (जय गणेश जय गजवदन, कृपा सिंधु भगवान - भजन)


Jai Ganesh Jai Gajvadan,
Kripa Sindhu Bhagwan ।
Mushak Vahan Deejiye,
Gyan Buddhi Vardan ॥ 1 ॥
Shiv Nandan Gauri Tanay,
Pratham Pujya Ganraj ।
Sakal Amangal Ko Haro,
Pooran Ho Har Kaaj ॥ 2 ॥

Hath Jod Vinti Karoon,
Devon Ke Sartaj ।
Bhav Baadha Sab Door Ho,
Riddhi Siddhi Ganraaj ॥ 3 ॥

Mangalkari Dev Tum,
Mangal Karo Ganesh ।
Jag Vandan Tumhare Karen,
Kaato Sabka Klesh ॥ 4 ॥

Girija Putra Ganesh Ki,
Bolo Jai-jaikar ।
Ganpati Mere Dev Tum,
Devon Ke Sarkar ॥ 5 ॥

Moosak Wahan Sajate,
Ek Dant Bhagwan ।
Naman Karoon Gandev Ji,
Aao Buddhi Nidhaan ॥ 6 ॥

Pratham Pujya Vandan Karoon,
Mahadev Ke Lal ।
Riddhi Siddhi Data Tumheen,
Tum Ho Deendayal ॥ 7 ॥

Devon Ke Sartaaj Ho,
Gyan Vaan Gunvaan ।
Ganpati Bappa Moriya,
Leela Badi Mahan ॥ 8 ॥

Teen Lok Chaudah Bhuvan,
Teri Jai-jaikar ।
Hey Ganpati Gandevata,
Har Lo Dukh Apaar ॥ 9 ॥

Sur Nar Muni Sab Hain Bhaje,
Tumko Hey Shiv Laal ।
Pramudit Mata Parvati,
Jai Ho Deendayal ॥ 10 ॥

Kailashi Shiv Sut Suno,
Karo Bhakt Kalyan ।
Sab Jan Dware Aa Khada,
Aaj Bachalo Pran ॥ 11 ॥

Mahadev Ke Laal Tum,
Sabhi Jhukate Sheesh ।
Ham Nirdhan Laachaar Hain,
Do Humko Aashish ॥ 12 ॥

Gannayak Hey Shambhu Sut,
Vighna Haran Ganraaj ।
Sakal Klesh Santaap Ko,
Twarit Mita Do Aaj ॥ 13 ॥

Vakratund Shuchi Shund Hai,
Tilak Tripundi Bhaal ।
Chhabi Lakhi Sur Nar Aatma,
Shiv Gauri Ke Laal ॥ 14 ॥

Ur Manimala Shobhate,
Ratn Mukut Sir Saaj ।
Modak Haath Kuthar Hai,
Sundar Mukh Ganraaj ॥ 15 ॥

Peetambar Tan Par Saje,
Charan Paduka Dhaar ।
Dhani Shiv Lalna Sukh Bhawan,
Mere Taranhar ॥ 16 ॥

Rddhi Siddhi Pati Shubh Sadan,
Mahima Amit Apaar ।
Janm Vichitra Charitra Hai,
Moosak Vahan Dwaar ॥ 17 ॥

Ek Radan Gaj Ke Badan,
Kaya Roop Vishal ।
Pal Mein Harte Duhkh Ko,
Hey Prabhu Deendayal ॥ 18 ॥

Mata Gaura Ke Tanay,
Gyan Buddhi Bhandar ।
Gahe Sharan Prabhu Raakhiye,
Hum Hain Deen Apaar ॥ 19 ॥

Shiva Shambhu Ke Laal Tum,
Karuna Bade Nidhaan ।
Vipda Mein Sansar Hai,
Haro Kasht Bhagwan ॥ 20 ॥
- Bodhan Ram Nishadraj `Vinayak`
जय गणेश जय गजवदन, कृपा सिंधु भगवान - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जय गणेश जय गजवदन, कृपा सिंधु भगवान । मूसक वाहन दीजिये, ज्ञान बुद्धि वरदान ॥..
Bhajan Shri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Sun Radhika Dulari Main

Sun Radhika Dulari Mein, Hoon Dwar Ka Bhikhari, Tere Shyam Ka Pujari..

Lakshmi Bhajan

.Most sent Bhajans, Mantras, Aarti and songs in Diwali Puja, Dhanteras Puja and Shri Kuber Puja.

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye