Jammu Mein Maa Maat Vaishno Kalkatte Mein Kali (जम्मू में माँ मात वैष्णो, कलकत्ते में काली - भजन)


Jammu Mein Maan Maat Vaishno,
Kalkatte Mein Kali,
Sab Ki Vinati Sunti Hai,
Meri Maiya Sherowali,
Jai Jai Maan, Jai Jai Maan,
Jai Jai Maan, Jai Jai Maan ॥
Roop Aneko Maan Ke Ye Bataoon Main,
Jahaan Bhi Dekhoon Maiya Ko Hi Paoon Main,
Maiya Ka Har Dwar Hai Sachcha,
Jaanta Har Bachcha Bachcha,
Kahi Chamunda Kahi Pe Jwala,
Kahi Pe Jhande Wali,
Jai Jai Maan, Jai Jai Maan,
Jai Jai Maan, Jai Jai Maan ॥

Sachche Dil Se Jo Maan Ke Dar Aata Hai,
Jeevan Mein Vo Kabhi Nahin Duhkh Paata Hai,
Gun Gao Chaahe Karoli,
Khushiyon Se Bharti Hai Jholi,
Maan Ke Dar Se Aaj Talak,
Koi Lauta Nahin Hai Khali,
Jai Jai Maan, Jai Jai Maan,
Jai Jai Maan, Jai Jai Maan ॥

‘Bheemsen’ Beshak Pyaare Aajma Le Tu,
Maan Ke Dar Pe Soya Bhagya Jaga Le Tu,
Maan Bete Ka Nirmal Naata,
Kyon Na Teri Samajh Mein Aata,
Mamta Maan Ke Bhakto Ki to,
Manti Roj Diwali,
Jai Jai Maan, Jai Jai Maan,
Jai Jai Maan, Jai Jai Maan ॥

Jammu Mein Maan Maat Vaishno,
Kalkatte Mein Kali,
Sab Ki Vinti Sunti Hai,
Meri Maiya Sherowali,
Jai Jai Maan, Jai Jai Maan,
Jai Jai Maan, Jai Jai Maan ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
जम्मू में माँ मात वैष्णो, कलकत्ते में काली - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जम्मू में माँ मात वैष्णो, कलकत्ते में काली, सब की विनती सुनती है, मेरी मैया शेरोवाली, जय जय माँ, जय जय माँ, जय जय माँ, जय जय माँ ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanShyama Gauri BhajanAmbe Gauri BhajanDevi Mata Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kirpa Ki Na Hoti Jo Addat Tumhari

Kripa Ki Na Hoti Jo, Aadat Tumhari, To Suni Hi Rahti, Adalat Tumhari

Parbhu Ke Charno Se Sachha Pyar

Ravan Ne Ram Se Ber Kiya Use Ab Bhi Jalaya Jata Hai, Ban Bhakta Vibhisan Saran Gaye Ghar Baae Usi Ka Ho Jaye, Parbhu Ke Charno Se Gar Sachha Pyar Kisi Ko Ho Jaye ॥

Jisko jivan Main Mila Satsang Hai

Jise Jeevan Main Mila Satsang Hain, Use Hardam Anand Hi Anand Hai ।

Mere Ram Ayodhya Aaye

Utsav Bhari Sabhi Manao Ri, Mere Ram Ayodhya Aaye, Mere Ram Ayodhya Aaye, Prabhu Ram Apane Ghar Aaye ॥

Ram Bhajan - Shri Ramji Padhare

Ramji Padhare, Shree Ramji Padhare, Hey ! Dekho Avadh Nagariya Mein Ramji Padhare