Jara Dhire Dhire Gadi Hanko (जरा धीरे धीरे गाड़ी हांको - कबीर भजन)


Jara Dhire Dhire Gadi Hanko,
Mere Ram Gadi Wale,
Jara Halke Gadi Hanko,
Mere Ram Gadi Wale,
Jara Haule Haule Gadi Hanko,
Mere Ram Gadi Wale ॥
Hai Ji Gadi Mhari Rang Rangili,
Pahiya Hai Laal Gulal,
Gadi Mhari Rang Rangili,
Pahiya Hai Laal Gulal,
Hakan Wali Chhel Chhabili,
Baithan Walo Ram,
Re Bhaiya Dhire Dhire Gadi Hanko,
Mere Ram Gadi Wale ॥

Hai Ji Gadi Ataki Ret Mein,
Mhari Majal Padi Hai Door,
Gadi Ataki Ret Mein,
Meri Majal Padi Hai Door,
Dharmi Dharmi Par Utar Gaya,
Papi Chakna Choor,
Re Bhaiya Dhire Dhire Gadi Hanko,
Mere Ram Gadi Wale ॥

Hai Ji Des Des Ka Ved Bulaya,
Laya Jadi Aur Booti,
Des Des Ka Ved Bulaya,
Laya Jadi Aur Booti,
Jadi Booti Tere Kaam Na Aai,
Jab Ram Ke Ghar Ki Tooti,
Dhire Dhire Gadi Hanko,
Mere Ram Gadi Wale ॥

Hai Ji Char Jana Mil Mathe Uthayo,
Bandhi Kanth Ki Ghodi,
Char Jana Mil Mathe Uthayo,
Bandhi Kanth Ki Ghodi,
Le Jake Marghat Pe Rakhdi,
Phoonk Dinhi Jas Hori,
Re Bhaiya Dhire Dhire Gadi Hanko,
Mere Ram Gadi Wale । ॥

Bilakh Bilakh Kar Tiriya Rove,
Bichhad Gai Meri Jodi,
Bilakh Bilakh Kar Tiriya Rove,
Bichhad Gai Meri Jodi,
Kahe Kabir Suno Bhi Sadhu,
Jin Jodi Teen Todi,
Re Bhaiya Dhire Dhire Gadi Hanko,
Mere Ram Gadi Wale ॥

Jara Dhire Dhire Gadi Hanko,
Mere Ram Gadi Wale,
Jara Halke Gadi Hanko,
Mere Ram Gadi Wale,
Jara Haule Haule Gadi Hanko,
Mere Ram Gadi Wale । ॥
जरा धीरे धीरे गाड़ी हांको - कबीर भजन - हिन्दी में पढ़ें
जरा हलके गाड़ी हांको, मेरे राम गाड़ी वाले, जरा हौले हौले गाड़ी हांको...
Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanGuru Purnima BhajanVyasa Purnima BhajanGuru Gyan BhajanInspirational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanKabir BhajanKabir Vani BhajanArya Samaj Bhajan

Other Popular Jara Dhire Dhire Gadi Hanko Video

Halke Gaadi Haako - Neeraj Arya Kabir Cafe

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shyam Nazare Dekh Lo Ab Khol Ke

Shyam Nazaren Dekh Lo, Ab Khol Ke, Charanon Mein Rakha Kaleja, Khol Ke, Shyam Nazaren Dekh Lo, Ab Khol Ke ॥

O Lagi Lagi Re Preet Thasu Sawariya Sarkar

O Lagi Lagi Re Preet, Thasu Sanwariya Sarakar, Ban Ke Deewani Main To Nachungi,
Sanwara Deewani Main To Nachungi, O Lagi Lagi Re Preet, Thasu Sanwariya Sarakar ॥

Mere Baba Tujhe Kisne Sajaya Dil Gaya Haar Sanware

Mere Baba Tujhe Kisane Sajaya, Dil Gaya Haar Sanware, Main Mud Mud Dar Tere Aaya,
Mud Mud Dar Tere Aaya, Dil Gaya Haar Sanware, Mere Baba Tujhe Kisne Sajaya, Dil Gaya Haar Sanware ॥

Main Sewak Tu Malik Shyam Hamara Hai

Hum Donon Ka Rista, Kitana Pyara Hai, Main Sewak Tu Malik, Shyam Hamara Hai ॥

Mahakal Ki Lagan

Mohe Lagi Re Lagan Mahakal Ki Lagan, Tumhare Naam Se Kismat Meri Saja Lu Mein, Tumhare Charanon Ko Hi Apana Ghar Bana Lu Mein, Mujhe Kar Gae Magan, Mahakal Ki Lagan ॥