Jari Ki Pagri Bandhe Sundar Ankhon Wala (जरी की पगड़ी बांधे, सुंदर आँखों वाला: भजन)


Jari Ki Pagdi Bandhe,
Sundar Aankhon Wala,
Kitna Sundar Lage Bihari,
Kitna Lage Pyara,
Jari Ki Pagdi Bandhe ॥
Kanon Mein Kundal Saaje,
Sir Mor Mukut Viraje,
Sakhiyan Pagli Hoti,
Jab Jab Hothon Pe Bansi Baaje,
Hain Chanda Yah Sanwara,
Taare Hain Gwal Baala,
Kitna Sundar Lage Bihari,
Kitna Lage Pyara,
Jari Ki Pagdi Bandhe ॥

Jari Ki Pagdi Bandhe,
Sundar Aankhon Wala,
Kitna Sundar Lage Bihari,
Kitna Lage Pyara,
Jari Ki Pagdi Bandhe ॥

Lat Ghunghrale Baal,
Tere Kaare Kaare Gaal,
Sundar Shyam Salona,
Teri Tedhi Medhi Chaal,
Hawa Mein Sar Sar Kaata,
Tera Pitaambar Matwala,
Kitna Sundar Lage Bihari,
Kitna Lage Pyara,
Jari Ki Pagdi Bandhe ॥

Jari Ki Pagdi Bandhe,
Sundar Aankhon Wala,
Kitna Sundar Lage Bihari,
Kitna Lage Pyara,
Jari Ki Pagdi Bandhe ॥

Mukh Pe Makhan Malta,
Tu Bal Ghutne Ke Chalta,
Dekh Yashoda Bhagya Ko,
Devon Ka Man Bhi Jalta,
Maathe Pe Tilak Hai Sohe,
Aankhon Mein Kajal Dara,
Kitna Sundar Lage Bihari,
Kitna Lage Pyara,
Jari Ki Pagdi Bandhe ॥

Jari Ki Pagdi Bandhe,
Sundar Aankhon Wala,
Kitna Sundar Lage Bihari,
Kitna Lage Pyara,
Jari Ki Pagdi Bandhe ॥

Tu Jab Bansi Bajaye,
Tab Mor Bhi Naach Dikhaye,
Yamuna Mein Lahren Uthti,
Aur Koyal Koo Koo Gaye,
Haath Mein Kangan Pahne,
Aur Gal Vaijanti Mala
Kitna Sundar Lage Bihari,
Kitna Lage Pyara,
Jari Ki Pagdi Bandhe ॥

Jari Ki Pagdi Bandhe,
Sundar Aankhon Wala,
Kitna Sundar Lage Bihari,
Kitna Lage Pyara,
Jari Ki Pagdi Bandhe ॥
जरी की पगड़ी बांधे, सुंदर आँखों वाला: भजन - हिन्दी में पढ़ें
जरी की पगड़ी बांधे, सुंदर आँखों वाला, कितना सुंदर लागे बिहारी..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam BhajanDevi Chitralekha Bhajan

Other Popular Jari Ki Pagri Bandhe Sundar Ankhon Wala Video

Jari Ki Pagdi Bandhe Sunder Ankhon By Shradheya Mridul Krishan Goswami Ji

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

O Shankara Mere Shiv Shankara

O Shankara Mere Shiv Shankara, Balak Main Tu Pita Hai, Tujhase Kuchh Nahi Chhipa Hai,
Shankara Bholenath Bholenath, O Shankara Mere Shiv Shankara, Balak Main Tu Pita Hai ॥

O Mera O Shankara Ho

O Mera O Shankar Ho Mann Mein Baitha Hai Tu...

Laagi Lagan Shankara

Lagi Meri Preet Tere Sang, Mere Shankara । Lagi Meri Preet Tere Sang, Mere Shankara ।

Namo Namo Shankara

Jai Ho Jai Ho Shankara, Bholenath Shankara | Aadi Dev Shankara, Hey Shivay Shankara..