Jindagi Me Hajaro Ka Mela Juda (जिंदगी में हजारों का मेला जुड़ा: भजन)


Jindagi Mein Hajaron Ka Mela Juda,
Hans Jab-jab Uda Tab Akela Uda ।
Kaal Se Bach Na Payega Chhota Bada,
Hans Jab Jab Uda Tab Akela Uda ॥
Thaat Saare Pade Ke Pade Rah Gaye,
Saare Dhanava Gadhe Ke Gadhe Reh Gaye,
Ant Me Lakhpati Ko Na Dhela Mila,
Hans Jab Jab Uda Tab Akela Uda ॥

Bebaso Ko Satane Se Kya Phayada,
Jhooth Apajas Kamane Se Kya Phayada,
Dil Kisi Ka Dukhane Se Kya Phayada,
Neem Ke Sath Jese Karela Juda,
Hans Jab Jab Uda Tab Akela Uda ॥

Raaj Raaje Rahe, Na Vo Rani Rahi,
Na Budhapa Raha, Na Jawni Rahi,
Ye to Kahne Ko Keval Kahani Rahi,
Chaar Din Ka Jagat Me Jhamela Raha,
Hans Jab Jab Uda Tab Akela Uda ॥

Jindagi Mein Hajaron Ka Mela Juda,
Hans Jab-jab Uda Tab Akela Uda ।
Kaal Se Bach Na Payega Chhota Bada,
Hans Jab Jab Uda Tab Akela Uda ॥
जिंदगी में हजारों का मेला जुड़ा: भजन - हिन्दी में पढ़ें
जिंदगी में हजारों का मेला जुड़ा, हंस जब-जब उड़ा तब अकेला उड़ा । काल से बच ना पाएगा छोटा बड़ा..
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya BhajanNirgun Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Mann Me to Aave Bhajan Banau

Mann Mein to Aave Bhajan Banaun, Bhajan Bana Ke Baalasa, Bhajan Bana Ke Baalasa Tujhko Rijhaun..

Bajrangbali Ki Shan Badi

Bajrangbali Ki Shan Badi, Ati Sundar Hai Hanumangadhi । Shri Ram Gareeb Navaj Hai, Hanumat Kalyug Ke Raja Hai

Bajrangbali Vo

Bajrangi Bali Vo,Bali Ma Bali Chir Chhati Dekhaye Na ll

Bajrangi Maharaj Tumhe Bhakt Bulate Hai

Bajrangi Maharaj, Tumhai Bhakt Bulate Hai, Tumhai Shish Jhukate Hai ॥