Jis Ghar Mein Maiya Ka Sumiran Hota (जिस घर में मैया का, सुमिरन होता: भजन)


Jis Ghar Mein Maiya Ka,
Sumiran Hota,
Us Ghar Mein Har Pal,
Anand Hota,
Maan Ka Pawan Naam Bada,
Man Bhaavan Hota,
Jis Ghar Mein Maiya Ka,
Sumiran Hota,
Us Ghar Mein Har Pal,
Anand Hota ॥
Jisko Maan Ki Daya Mile,
Uski to Chandi Chandi Hai,
Apne Bhakt Ke Ghar Mein Maan Ne,
Sukh Ki Jhadi Laga Di Hai,
Khushiyon Se Bhar Poor Angan Hota,
Us Ghar Mein Har Pal,
Anand Hota ॥

Jot Nurani Maiyya Ki,
Sare Hi Kasht Mitati Hai,
Mamta Ki Sheetal Chhaiya Mein,
Man Bagiya Khil Jaati Hai,
Mor Banke Naach Raha Tan Man Hota,
Us Ghar Mein Har Pal,
Anand Hota ॥

Saare Jag Ko Paalti Ye,
Ambe Maat Bhawani Hai,
Aathon Pahar Charan Seva Mein,
Rahta Ye ‘Chokhani’ Hai,
Bad Bhaagi Vo Jise Darshan Hota,
Us Ghar Mein Har Pal,
Anand Hota ॥

Jis Ghar Mein Maiya Ka,
Sumiran Hota,
Us Ghar Mein Har Pal,
Anand Hota,
Maan Ka Paawan Naam Bada,
Man Bhaavan Hota,
Jis Ghar Mein Maiya Ka,
Sumiran Hota,
Us Ghar Mein Har Pal,
Anand Hota ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
जिस घर में मैया का, सुमिरन होता: भजन - हिन्दी में पढ़ें
जिस घर में मैया का, सुमिरन होता, उस घर में हर पल, आनंद होता, माँ का पावन नाम बड़ा, मन भावन होता, जिस घर में मईया का, सुमिरन होता, उस घर में हर पल, आनंद होता ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥