Jo Dena Ho To Maiya Uphar Ye Dena (जो देना हो तो मईया, उपहार ये देना: भजन)


Jo Dena Ho to Maiya,
Uphar Ye Dena,
Teri Mamta Par Thoda,
Adhikar De Dena,
Jo Dena Hon Ton Maiya,
Uphar Ye Dena ॥
Vaise to Pahale Hi,
Kaphi Hai Ye Tohfa,
Tu Hai Meri Maiya Hai,
Main Hoon Tera Beta,
Beta Ka Jis Par Haq Hai,
Vo Pyar De Dena,
Jo Dena Hon Ton Maiya,
Uphar Ye Dena ॥

Daulat Se Jeene Ke,
Saadhan to Mil Jaye,
Par Maan Ki Mamta Ko,
Lene Kahaan Jaye,
Mujhko Hai Bas Mamta Ki,
Darkar De Dena,
Jo Dena Hon Ton Maiya,
Uphar Ye Dena ॥

Amrit Mein Mamta Ka,
Jo Ansh Na Hota,
To Vish Aur Amrit Mein,
Koi Phark Na Hota,
‘Sonu’ Ko Us Amrit Ki,
Ek Dhaar De Dena,
Teri Mamta Par Thoda,
Adhikar De Dena,
Jo Dena Hon Ton Maiya,
Uphar Ye Dena ॥

Jo Dena Ho to Maiya,
Uphar Ye Dena,
Teri Mamta Par Thoda,
Adhikar De Dena,
Jo Dena Hon Ton Maiya,
Uphar Ye Dena ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
जो देना हो तो मईया, उपहार ये देना: भजन - हिन्दी में पढ़ें
जो देना हो तो मईया, उपहार ये देना, तेरी ममता पर थोड़ा, अधिकार दे देना, जो देना हों तों मईया, उपहार ये देना ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanGupt Navratri BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanDurga Asthami BhajanMata Bhawani BhajanPahadawali BhajanSherawali Maa Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hari Nam Sumir Sukhdham Jagat Mein

Hari Nam Sumir Sukhdham, Hari Nam Sumir Sukhdham, Jagat Mein Jeevan Do Din Ka...

Kuch Nahi Bigadega Tera Hari Sharan Aane Ke Baad

Kuch Nahin Bigdega Tera, Hari Sharan Aane Ke Baad । Har Khushi Mil Jayegi Tujhe..

Hari Hari Hari Sumiran Karo

Hari Hari, Hari Hari, Sumiran Karo, Hari Charnaravind Ur Dharo

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage, Lakhnva Nahi Jana Ki Ji Na Lage ॥

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein, Saja Dipo Ki Thali, Paap Ki Koi Bhag Nahi Hai, Chamake Dharm Ki Laali, Hue Dhanya Dhara Ye Avadha Ki, Aaye Jo Ram Ayodhya Mein ॥