Kaam Koi Aisa Na Jag Mein Jo Karte Hanuman Nahi (काम कोई ऐसा ना जग में, जो करते हनुमान नहीं: भजन)


Kaam Koi Aisa Na Jag Mein,
Jo Karte Hanuman Nahi,
Phir Bhi Ram Ke Das Kahaye,
Hrudaya Mein Abhimaan Nhi,
Phir Bhi Ram Ke Das Kahaye,
Hrudaya Mein Abhimaan Nhi ॥
Suraj Mukh Mein Rakhne Wale,
Prem Ka Bhog Lagate Hai,
Sagar Laghan Wale Pal Mein,
Naiya Paar Lagate Hai,
Inka Rasta Rok Sake Jo,
Asa Koi Chattan Nahi,
Phir Bhi Ram Ke Das Kahaye,
Hrudaya Mein Abhimaan Nhi ॥

Lakhan Ke Prano Ke Data,
Bhakta Ki Raskhya Karte Hai,
Bhoot Pisach Nikat Nahi Aave,
Vo hanuman Se Darte Hai,
Le Parvat Haton Mein Ude Jo,
Asa Koi Balwan Nhi,
Phir Bhi Ram Ke Das Kahaye,
Hrudaya Mein Abhimaan Nhi ॥

Tera samarpan Dekh Ke Hanuman,
Waha Pakad Le Jayenge,
Tere Maan Mein Bhakti Bhar Ke,
Ram Ka Darshan Karayenge,
"Pankaj" Jisne Naam Japa Hai,
Vo Khota Pahchan Nahi,
Phir Bhi Ram Ke Das Kahaye,
Hrudaya Mein Abhimaan Nhi ॥
BhaktiBharat Lyrics

Kaam Kaoi Asa Na Jag Mein,
Jo Karte Hanuman Nahi,
Phir Bhi Ram Ke Das Kahaye,
Hrudaya Mein Abhimaan Nhi,
Phir Bhi Ram Ke Das Kahaye,
Hrudaya Mein Abhimaan Nhi ॥
काम कोई ऐसा ना जग में, जो करते हनुमान नहीं: भजन - हिन्दी में पढ़ें
काम कोई ऐसा ना जग में, जो करते हनुमान नहीं, फिर भी राम के दास कहाए, हृदय में अभिमान नहीं, फिर भी राम के दास कहाए, हृदय में अभिमान नहीं ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Ek Din Bole Prabhu Ramchandra

Ek Din Bole Prabhu Ramchandra, Main Mann Ki Baat Batata Hoon, Tum Lete Raho Hanuman Yahan, Main Tere Charan Dabaata Hoon ॥

Murakh Bande Kya Hai Re Jag Me Tera

O Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera, Ye to Sab Jhootha Sapna Hai, Ye to Sab Jhootha Sapna Hai, Kya Tera Kya Mera,
Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

Kevat Ram Ka Bhakt Hai

Kevat Ram Ka Bhakt Hai, Donon Charanon Ko Dhona Padega, Jal Sarayu Ka Gahara Bhi Hai,
Paar Usako Lagaana Padega, Kevat Ram Ka Bhakt Hai, Donon Charanon Ko Dhona Padega ॥